Goya Andaz-e-Tazeem Hai Ameeron Jaisa, 
Mere Andar Ka Hai Insan Faqeeron Jaisa.
Humne Chehre Pe Saja Rakhi Hai Shehr Ki Ronaq,
Mery Dil Ka Aalam Hai Veeran Jazeron Jaisa.
Us K Osaf-o-Khasail Ne Mujhe Jeet Lia,
Mere Mureedon Main Tha Wo Shakhs Peeron Jaisa,
Is Se Pehle Bhi Aseeri Thi Rehaaii Jaisi,
Ab K Azadi Main Hai Haal Aseeron Jaisa,
Usko Ganwa K Hain Khasaray Ab Tak MOHSIN,
Wo Jo Ek Shaks Tha Mere Haath Main Heeron Jaisa..

אคเ

 

Wo Kehti Hai Suno Jaana Mohabbat Mom Ka Ghar Hai
Tapish Ye Bad-Gumani Ki Kahin Pighla Na De Isko
Mein Kehta Hun K Jis Dil Mein Zara Bhi Bad-Gumani Ho
Wahan Kuch Aur Ho To Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti
Wo Kehti Hai Sadaa Aise Hi Kya Tum Mujhko Chaho Gay
K Mein Is Main Kami Bilkul Gawara Kar Nahi Sakti
Mein Kehta Hun Mohabbat Kya Hai Ye Tum Ne Shikhaya Hai
Mujhe Tumse Mohabbat K Siwa Kuch Bhi Nahi Aata
Wo Kehti Hai Judai Se Boht Darta Hai Mera Dil
K Khud Ko Tumse Hat Kar Dekhna Mumkin Nahi Hai Ab
Mein Kehta Hun Yehi Khadshay Bohat Mujhko Satatay Hain
Magar Sach Hai Mohabbat Mein Judai Saath Chalti Hai
Wo Kehti Hai Batao Kya Mere Bin Jee Sako Gay Tum
Meri Baatein Meri Yaadein Meri Aankhein Bhula Do Gay
Mein Kehta Hun Kabhi Is Baat Pe Socha Nahi Maine
Agar Ek Pal Ko Bhi Sochon To Saansen Ruknay Lagti Hain
Wo Kehti Hai Tumhe Mujhse Mohabbat Is Qadar Kyun Hai
K Main Ek Aam Si Larki Tumhe Kyun Khaas Lagti Hun
Mein Kehta Hun Kabhi Khud Ko Meri Aankhon Se Tum Dekho
Meri Deewangi Kyun Hai Ye Khud Hi Jaan Jao Gi
Wo Kehti Hai Mujhe Waraftagi Se Dekhte Kyun Ho
K Mein Khud Ko Boht Hi Qeemti Mehsoos Karti Hun
Mein Kehta Hun Mata-e-Jan Bohat Anmol Hoti Hai
Tumhen Jab Dekhta Hun Zindagi Mehsos Karta Hun
Wo Kehti Hai Mujhe Alfaaz K Jugnu Nahi Miltay
Tumhen Batla Sakun Dil Mein Mere Kitni Mohabbat Hai
Mein Kehta Hun Mohabbat To Nigahon Se Chalakti Hai
Tumhari Khamoshi Mujhse Tumhari Baat Karti Hai
Wo Kehti Hai Batao Na Kisay Khonay Se Dartay Ho
Batao Kaun Hai Wo Jis Ko Ye Mausam Bulatay Hain
Mein Kehta Hun Ye Meri Shayri Hai Aaina Dil Ka
Zara Dekho Batao Tumko Kya Is Mein Nazr Aaya
Wo Kehti Hai K Atif Jee Bohat Baatein Banatay Ho
Magar Sach Hai K Ye Baatein Bohat Hi Shaad Rakhti Hain
Mein Kehta Hun Ye Sab Baatein Fasanay Ek Bahana Hain
K Pal Kuch Zindagani K Tumhare Saath Kat Jayen
Phir Uske Baad Khamoshi Ka Dil Kash Raqs Hota Hai
Nigahein Bolti Hain Aur Lab Khamosh Rehte Hain

Shayries By xai

 
Dukhon Kay Shehr Mein Kabhi Raahat Nahi Milti
Kabhi Saathi Nahi Milte Kabhi Chahat Nahi Milti

Kisi Kay Paas Khud Chal Kay Aayen Manzilein
Hamein Manzil Pe Ja Kar Bhi Manzil Nahi Milti

Wo Duniya Kay Bakhairon Mein Is Qadar Gum Ho Gaya Hai Kay
Usay Mujhe Yaad Karne Ki Fursat Nahi Milti


אคเ
 
Is Dharti Kay Sheesh Naag Ka Dank Bara Zehrila Hai
Sadiyan Guzrin Aasmaan Ka Rang Abhi Tak Neela Hai

Mein Hun Apne Pyar Par Qayam.. Apni Rasmein Woh Janay
Aur Hai Zaat Haseeno Ki.. Aur Apna Aur Qabila Hai

Mere Uske Hont Hilen To Khilen Hzaaron Phool Magar
Kuch To Mein Chup Rehta Hun.. Kuch Yaar Mera Sharmila Hai

Aansu Tapkay Hongay In Par Harf Jabhi To Phail Gaye
Roya Hai Khat Likhne Wala.. Jabhi To Kaghaz Geela Hai

Maine Kaha Do Ajnaiyon Kay Dil Kaise Mil Jatay Hain
Pyar Se Boli Ek Dewi.. Ye Bhagwaan Ki Leela Hai

Yunhi To Nahi Kehta Rehta Nazmein Ghazalein Geet Qateel
Ye To Kisi Ki Mehfil Tak.. Janay Ka Ek Waseela Hai

אคเ

 
Aankhon Se Meri Is Liye Laali Nahi Jati
Yaadon Se Koi Raat Jo Khaali Nahi Jati

Ab Umr Na Mausam Na Wo Raastay K Wo Paltain
Is Dil Ki Magar Hum Khayali Nahi Jati

Maangay Tu Agar Jaan Bhi Hans K Tujhe De Dain
Teri To Koi Baat Bhi Taali Nahi Jati

Aaye Koi Aa Kar Ye Tere Dard Sambhalay
Humse To Ye Jageer Sambhali Nahi Jati

Maloom Hamein Bhi Hain Boht Se Tere Qissay
Par Baat Teri Humse Uchaali Nahi Jati

Humrah Tere Phool Khilati Thi Jo Dil Mein
Ab Shaam Wohi Dard Se Khaali Nahi Jati

Hum Jaan Se Jayenge Tabhi Baat Banay Gi
Tumse To Koi Rah Nikaali Nahi Jati

 אคเ
 
Thak K Girta Hai Shaheen To Khayal Aata Hai Iqbal
Jaan Lewa Hai Kisi Chaand Ki Chahat Karna..!!


 
Photobucket
Is Eid Pe Laut Kay Aa Jana
Kuch Yaadein Taaza Karni Hain
Kuch Lamhay Mor Kay Lanay Hain
Kuch Taaray Tor Kay Lanay Hain
Wo Masti Aur Wo Madhoshi
Wo Bachpan Mor Kay Laana Hai
Is Eid Pe Laut Kay Aa Jana
Ab Dil Ko Dil Ki Dharkan Se
Phir Eid Mubarak Kehna Hai
Ab Saath Bohat Din Rehna Hai
Is Eid Pe Laut Kay Aa Jana

אคเ
 
Tera Haath Hum Ne Thaama Tha
Ek Nayi Duniya Basanay K Liye
Apni Gumnaam Zindagi Mein
Ujala Laanay K Liye
Par Tu Yun Chor Gaya Hamein Kay
Hum Tarastay Hain Rah-e-Zindagi Mein
Gham-e-Yaar K Liye
Phir Tere Baad Bhi Koi Na Aaya
Hamari Ujri Hui Duniya Mein
Aur Log Humse Aaj Bhi Poochtay Hain
Kahan Gaya Wo Jiska Haath Thaama Tha
Tum Ne Ek Nayi Duniya Basanay K Liye
Aur Hum Bas Itna Kehte Hain Duniya Walon Se K
Khuda Ne Likha Hi Nahi Usko Meri Qismat Mein
Warna Khoya To Bohat Kuch Tha Usko Paanay K Liye !!!


אคเ
 
Apno Ki Inayat Hai K Ilzaam Mein Gum Hun
Har Waqt Ye Lagta Hai Tere Naam Mein Gum Hun

Manhoos Si Lagti Hain Tere Shehr Ki Galiyan
Mein Teri Mohabbat K Dar-o-Baam Mein Gum Hun

Milta Hi Nahi Waqt Tujhe Yaad Karun Mein
Is Shehr-e-Mohabbat Mein Kisi Kaam Mein Gum Hun

Mumkin Ho Agar Meri Taraf Laut K Aao
Mein Ab Bhi DECEMBER Ki Kisi Shaam Mein Gum Hun

אคเ
 

اپنے دل کے داغ اکیلے میں یوُنہی میں دھو لیتا ہوُں
جُوں ہی موقعہ مل جاتا ہے چھُپ چھُپ کے میں رولیتا ہوُں

دھوُم دھڑکا،شور شرابا،بھاگم دوڑ اور آپا دھاپی
میں جب بھی ہوتا ہے وقفہ،اُس وقفے میں سو لیتا ہوُں

گُمراھی کے رستے پر جو تنہا جاتا مل جاتا ہے
سیدھا رستہ اُسے دکھانے اُس کے ساتھ بھی ہو لیتا ہوُں

اپنی نفرت کی فصلوں کو کاٹ مٹانا گو مُشکل ہے
پھر بھی پیار مُحبت کے کُچھ بیج دلوں میں بو لیتا ہوُں

جوُہی، بیلا، گیندا،سوسن،نرگس،لالہ اور چنبیلی
اپنے پیار کی مالا میں یہ سارے پھُول پرو لیتا ہوُں

مُجھ کو راہ اکیلے چلنا راس نہیں آتا ہے ہرگز
اپنی منزل کو جاتے میں سنگ اپنے سب کو لیتا ہوُں

گرچہ اس دُنیا میں رہنا ایک جہنٌم سا لگتا ہے
اپنے تن کی گرمی میں،میں من کی ٹھنڈ سمو لیتا ہوُں

ابنے لوبھ کی خاطر میں نے جانے کتنے بُت ہیں تراشے
لوگوں کو دکھلانے کو ہی نام خُدا کا گو لیتا ہوُں

میں اپنی مرضی کا مالک،کون مُجھے مُجبور کرے ہے
اُس کا نام صبا جب بھی میں لینا چاہوں تو لیتا ہوُں 


ครเŦ אคเ

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector