Khizan Raseeda Chaman Mein Bahaar Mushkil Hai
Tumhare Baad Kahin... Aitebaar Mushkil Hai

Kisi Se... Is Liye Dushwaar Hai Khafa Hona
Mananay Aayega Humko Bhi Yaar Mushkil Hai

Ajeeb Raaz-e-Junoon Tha Jo Mere Dil Pe Khula
Teri Gali Mein Bhi Aa Kar Qaraar Mushkil Hai

Hamara Kaun Hai ??? Ehl-e-Jafa Ki Basti Mein
Milay Ga Koi Hamein Gham Gusaar Mushkil Hai

Kahan Chalay Ho Mohabbat Khareednay ???
Baghair Sood Kay Milna Udhaar Mushkil Hai

xai

 
Shikwa-e-Ishq Nahi Jurrat-e-Guftaar Nahi
Mere Haathon Mein Koi Jabr Ki Talwaar Nahi

Ibn-e-Adam Hoon Insaan Se Mohabbat Ki Hai
Aag Ka, Chaand Ka, Pathar Ka Parastaar Nahi

Ae Khuda
Mujhko Ibadat Kay Ewaz Meri Mohabbat De De
Mein Teri Kisi Jannat Ka Khareedaar Nahi

Jis Ne Insaan Se Mohabbat Hi Na Ki Ho Iqbal
Dar Haqeeqat Wo Khuda Ka Bhi Talabgaar Nahi

xai

 
Dabi Dabi Si Wo Muskurahat Labon Pe Apne Saja Saja K
Wo Narm Lehjay Main Baat Karna Ada Se Nazrein Jhuka Jhuka K

Wo Aankh Teri Shararti Si Wo Zulf Maathay Pe Naachti Si
Nazr Hatay Na Ek Pal Bhi Main Thak Gaya Hun Hata Hata K

Wo Tere Haathon Ki Ungliyon Ko Mila K Zulfon Mein Kho Sa Jana
Haya Ko Chehre Pe Phir Sajana Phool Chehra Khila Khila K

Wo Hath Hooron K Gar Hon Jese Wo Paaon Pariyon K Par Hon Jese
Nahi Hai Teri Misaal Jaana Main Thak Gaya Hun Bata Bata K..

xai

 
Karri Dhoop Mein Jaltay Huay Paon Ki Tarha
Wo Kisi Aur Kay Aangan Mein Hai Chaon Ki Tarha

Wo To Waqif Hai Mere Jazbon Ki Sachai Se
Phir Kyun Khamosh Hai Pathar Kay Khudaon Ki Tarha

Mein To Khushbu Ki Tarha Saath Raha Honga Uske
Wo Bhatakta Raha Be-Chain Hawaon Ki Tarha

Jo Barbaad Huay Thay Wohi Bad-Naam Huay
Wo To Masoom Raha Apni Adaaon Ki Tarha

Gham To Hai Kay Hamein Koi Khushi Raas Na Aayi
Zindagi Kaat Rahe Hain Hum Sazaaon Ki Tarha

xai

 

Mausam-e-Qurb-e-Intezaar Bhi Jhoot
Dil Na Manay To Wasl-e-Yar Bhi Jhoot

Maut Teri Talab Bhi Lagzish-e-Lab
Zindagi Tera Aitebaar Bhi Jhoot

Wusat-e-Daastaan-e-Shauq Ghalat
Koshish-e-Hurf-e-Ikhtesaar Bhi Jhoot

Sirf Uska Safar Hi Sach 'Mohsin'
Meri Rah Bhi Mera Ghubaar Bhi Jhoot

xai
 
Seenay Se Lagatay Thay Jo Mujhe Haar Bana Kar
Chor Gaye Mujhko Wo Gunah-Gaar Bana Kar

Hasb-e-Taufeeq Sab Ne Loota Hai Mujh Ko
Apno Ne Bhi Loota Hai Mujhe Yaar Bana Kar

Log Kehte Thay Kay Pyar Mein Sirf Ruswai Hai
Aakhir Wo Bhi Chor Gaya Apna Talabgaar Bana Kar

Ab To Har Taraf Se Log Hamein Loot Rahe Hain
Koi Jaan... Koi Yaar... To Koi Pyar Bana Kar...!!!

xai

 
Na-Kaam Zindagi Pe Pashemani Boht Hai
Ab Tak Zinda Hun Hairani Bohat Hai

Mera Chehra Pyar K Qabil Nahi Magar
Meri Roh Pyar Ki Deewani Bohat Hai

Tu Juda Ho Kar Bhi Mujhse Juda Nahi Hua
Teri Yaadon Ki Mujh Par Mehrbani Bohat Hai

Aao Sehraon Aao! Agar Tumhen Paani Chahiye
Meri Aankhon Mein Hijar Ka Paani Bohat Hai

Ab Mujhko Jeene Ki Tamanna Nahi Mohsin
Guzri Jo Tere Sang Wo Jawani Bohat Hai
 אคเ
 
Kal Shaam Tere Ghar Qyaam Kis Ka Tha
Na Tha Koi Musafir To Ehtemaan Kis Ka Tha

Likh Likh K Choomta Raha Jisko Raat Bhar
Hamein Bhi Batao Wo Naam Kis Ka Tha

Jisko Sunn Kar Ro Paray Ehl-e-Mehfil
Itna Bheegta Hua Anjaam Kis Ka Tha

Hamein Pee K Hosh Na Raha Saaqi
Wo Haath Kis Ka Tha Wo Jaam Kis Ka Tha


אคเ
 
Kya Yehi Pyar Hota Hai?
Shuru Aankhon Se Hota Hai
Phir Dil Tak Ja Pohanchta Hai
Aur Phir Ek Lamhe Mein
Aankhon Mein Intezaar Hota Hai
Kya Yehi Pyar Hota Hai?

Phir Baat Milan Tak Pohanchti Hai
Kuch Dil Ki Baatein Hoti Hain
Dono Ki Qasmein Hoti Hain
Dil-o-Jaan Nisaar Hoti Hai
Kya Yehi Pyar Hota Hai?

Phir Ek Be-Wafai Karta Hai
Ek Be-Qaraar Hota Hai
Uski Bheegi AANKHON Mein
Hamesha Yehi Sawal Hota Hai
Kya Yehi Pyar Hota Hai?

אคเ
 
Mohabbat Aakhrish Hai Kya? (Wasi Shah)

Mein Shayar Hun To Aksar Log Mujhse Pochte Hain
Is Haseen Israar K Baare Mein
Batayen To Bhala Kya Hai
Mohabbat Aakhrish Hai Kya

Wasi Mein Hans K Kehta Hun
Kisi Pyasay Ko Apne Hissay Ka Paani Pilana Bhi Mohabbat Hai
Bhanwar Mein Doobte Ko Sahilon Tak Le K Jana Bhi Mohabbat Hai
Kisi K Waastay Nan'ni Si Qurbani Mohabbat Hai

Kahin Hum Raaz Saare Khol Sakte Hon
Magar Phir Bhi Kisi Ki Be-Basi Ko Dekh Kar
Khamosh Reh Jana Mohabbat Hai

Ho Dil Mein Dard Veerani Magar Phir Bhi
Kisi K Waastay Jab Rangeen Honton Pe Hansi Laana
Zabardasti Hi Muskana Mohabbat Hai

Kahin Barish Mein Sehmay Bheegte Billi K Bachay Ko
Zara Si Dair Ko Ghar Le K Aana Bhi Mohabbat Hai

Koi Chirya Jo Kamray Mein Bhatakti Aan Nikli Ho
To Us Chirya Ko Pankhay Bandh Kar K
Raasta Bahir Ka Dikhlana Mohabbat Hai

Kisi K Zakhm Sehlana
Kisi Rotay Huay K Dil Ko Behlana Mohabbat Hai

K Meetha Bol Meethi Baat Meethay Lafz
Sab Kya Hai Mohabbat Hai

Mohabbat Ek Hi Bas Ek Hi Insaan Ki Khatir Magan Rehna
Hama Waqt Uski Baaton Khushbuon Mein Dolna Kab Hai

Mohabbat Uski Zulf K Bal Kholna Kab Hai
Mohabbat K Hazaaron Rang Laakhon Istaaray Hain

Kisi Bhi Rang Mein Ho Ye Mujhe Apna Banatay Hain
Ye Mere Dil Ko Bhaatay Hain Ye Mere Dil Ko Bhaatay Hain

Shayries By xai

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector