Mausam-e-Qurb-e-Intezaar Bhi Jhoot
Dil Na Manay To Wasl-e-Yar Bhi Jhoot

Maut Teri Talab Bhi Lagzish-e-Lab
Zindagi Tera Aitebaar Bhi Jhoot

Wusat-e-Daastaan-e-Shauq Ghalat
Koshish-e-Hurf-e-Ikhtesaar Bhi Jhoot

Sirf Uska Safar Hi Sach 'Mohsin'
Meri Rah Bhi Mera Ghubaar Bhi Jhoot

xai
 
Seenay Se Lagatay Thay Jo Mujhe Haar Bana Kar
Chor Gaye Mujhko Wo Gunah-Gaar Bana Kar

Hasb-e-Taufeeq Sab Ne Loota Hai Mujh Ko
Apno Ne Bhi Loota Hai Mujhe Yaar Bana Kar

Log Kehte Thay Kay Pyar Mein Sirf Ruswai Hai
Aakhir Wo Bhi Chor Gaya Apna Talabgaar Bana Kar

Ab To Har Taraf Se Log Hamein Loot Rahe Hain
Koi Jaan... Koi Yaar... To Koi Pyar Bana Kar...!!!

xai

 
Na-Kaam Zindagi Pe Pashemani Boht Hai
Ab Tak Zinda Hun Hairani Bohat Hai

Mera Chehra Pyar K Qabil Nahi Magar
Meri Roh Pyar Ki Deewani Bohat Hai

Tu Juda Ho Kar Bhi Mujhse Juda Nahi Hua
Teri Yaadon Ki Mujh Par Mehrbani Bohat Hai

Aao Sehraon Aao! Agar Tumhen Paani Chahiye
Meri Aankhon Mein Hijar Ka Paani Bohat Hai

Ab Mujhko Jeene Ki Tamanna Nahi Mohsin
Guzri Jo Tere Sang Wo Jawani Bohat Hai
 אคเ
 
Kal Shaam Tere Ghar Qyaam Kis Ka Tha
Na Tha Koi Musafir To Ehtemaan Kis Ka Tha

Likh Likh K Choomta Raha Jisko Raat Bhar
Hamein Bhi Batao Wo Naam Kis Ka Tha

Jisko Sunn Kar Ro Paray Ehl-e-Mehfil
Itna Bheegta Hua Anjaam Kis Ka Tha

Hamein Pee K Hosh Na Raha Saaqi
Wo Haath Kis Ka Tha Wo Jaam Kis Ka Tha


אคเ
 
Kya Yehi Pyar Hota Hai?
Shuru Aankhon Se Hota Hai
Phir Dil Tak Ja Pohanchta Hai
Aur Phir Ek Lamhe Mein
Aankhon Mein Intezaar Hota Hai
Kya Yehi Pyar Hota Hai?

Phir Baat Milan Tak Pohanchti Hai
Kuch Dil Ki Baatein Hoti Hain
Dono Ki Qasmein Hoti Hain
Dil-o-Jaan Nisaar Hoti Hai
Kya Yehi Pyar Hota Hai?

Phir Ek Be-Wafai Karta Hai
Ek Be-Qaraar Hota Hai
Uski Bheegi AANKHON Mein
Hamesha Yehi Sawal Hota Hai
Kya Yehi Pyar Hota Hai?

אคเ
 
Mohabbat Aakhrish Hai Kya? (Wasi Shah)

Mein Shayar Hun To Aksar Log Mujhse Pochte Hain
Is Haseen Israar K Baare Mein
Batayen To Bhala Kya Hai
Mohabbat Aakhrish Hai Kya

Wasi Mein Hans K Kehta Hun
Kisi Pyasay Ko Apne Hissay Ka Paani Pilana Bhi Mohabbat Hai
Bhanwar Mein Doobte Ko Sahilon Tak Le K Jana Bhi Mohabbat Hai
Kisi K Waastay Nan'ni Si Qurbani Mohabbat Hai

Kahin Hum Raaz Saare Khol Sakte Hon
Magar Phir Bhi Kisi Ki Be-Basi Ko Dekh Kar
Khamosh Reh Jana Mohabbat Hai

Ho Dil Mein Dard Veerani Magar Phir Bhi
Kisi K Waastay Jab Rangeen Honton Pe Hansi Laana
Zabardasti Hi Muskana Mohabbat Hai

Kahin Barish Mein Sehmay Bheegte Billi K Bachay Ko
Zara Si Dair Ko Ghar Le K Aana Bhi Mohabbat Hai

Koi Chirya Jo Kamray Mein Bhatakti Aan Nikli Ho
To Us Chirya Ko Pankhay Bandh Kar K
Raasta Bahir Ka Dikhlana Mohabbat Hai

Kisi K Zakhm Sehlana
Kisi Rotay Huay K Dil Ko Behlana Mohabbat Hai

K Meetha Bol Meethi Baat Meethay Lafz
Sab Kya Hai Mohabbat Hai

Mohabbat Ek Hi Bas Ek Hi Insaan Ki Khatir Magan Rehna
Hama Waqt Uski Baaton Khushbuon Mein Dolna Kab Hai

Mohabbat Uski Zulf K Bal Kholna Kab Hai
Mohabbat K Hazaaron Rang Laakhon Istaaray Hain

Kisi Bhi Rang Mein Ho Ye Mujhe Apna Banatay Hain
Ye Mere Dil Ko Bhaatay Hain Ye Mere Dil Ko Bhaatay Hain

Shayries By xai
 
Goya Andaz-e-Tazeem Hai Ameeron Jaisa, 
Mere Andar Ka Hai Insan Faqeeron Jaisa.
Humne Chehre Pe Saja Rakhi Hai Shehr Ki Ronaq,
Mery Dil Ka Aalam Hai Veeran Jazeron Jaisa.
Us K Osaf-o-Khasail Ne Mujhe Jeet Lia,
Mere Mureedon Main Tha Wo Shakhs Peeron Jaisa,
Is Se Pehle Bhi Aseeri Thi Rehaaii Jaisi,
Ab K Azadi Main Hai Haal Aseeron Jaisa,
Usko Ganwa K Hain Khasaray Ab Tak MOHSIN,
Wo Jo Ek Shaks Tha Mere Haath Main Heeron Jaisa..

אคเ

 

Wo Kehti Hai Suno Jaana Mohabbat Mom Ka Ghar Hai
Tapish Ye Bad-Gumani Ki Kahin Pighla Na De Isko
Mein Kehta Hun K Jis Dil Mein Zara Bhi Bad-Gumani Ho
Wahan Kuch Aur Ho To Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti
Wo Kehti Hai Sadaa Aise Hi Kya Tum Mujhko Chaho Gay
K Mein Is Main Kami Bilkul Gawara Kar Nahi Sakti
Mein Kehta Hun Mohabbat Kya Hai Ye Tum Ne Shikhaya Hai
Mujhe Tumse Mohabbat K Siwa Kuch Bhi Nahi Aata
Wo Kehti Hai Judai Se Boht Darta Hai Mera Dil
K Khud Ko Tumse Hat Kar Dekhna Mumkin Nahi Hai Ab
Mein Kehta Hun Yehi Khadshay Bohat Mujhko Satatay Hain
Magar Sach Hai Mohabbat Mein Judai Saath Chalti Hai
Wo Kehti Hai Batao Kya Mere Bin Jee Sako Gay Tum
Meri Baatein Meri Yaadein Meri Aankhein Bhula Do Gay
Mein Kehta Hun Kabhi Is Baat Pe Socha Nahi Maine
Agar Ek Pal Ko Bhi Sochon To Saansen Ruknay Lagti Hain
Wo Kehti Hai Tumhe Mujhse Mohabbat Is Qadar Kyun Hai
K Main Ek Aam Si Larki Tumhe Kyun Khaas Lagti Hun
Mein Kehta Hun Kabhi Khud Ko Meri Aankhon Se Tum Dekho
Meri Deewangi Kyun Hai Ye Khud Hi Jaan Jao Gi
Wo Kehti Hai Mujhe Waraftagi Se Dekhte Kyun Ho
K Mein Khud Ko Boht Hi Qeemti Mehsoos Karti Hun
Mein Kehta Hun Mata-e-Jan Bohat Anmol Hoti Hai
Tumhen Jab Dekhta Hun Zindagi Mehsos Karta Hun
Wo Kehti Hai Mujhe Alfaaz K Jugnu Nahi Miltay
Tumhen Batla Sakun Dil Mein Mere Kitni Mohabbat Hai
Mein Kehta Hun Mohabbat To Nigahon Se Chalakti Hai
Tumhari Khamoshi Mujhse Tumhari Baat Karti Hai
Wo Kehti Hai Batao Na Kisay Khonay Se Dartay Ho
Batao Kaun Hai Wo Jis Ko Ye Mausam Bulatay Hain
Mein Kehta Hun Ye Meri Shayri Hai Aaina Dil Ka
Zara Dekho Batao Tumko Kya Is Mein Nazr Aaya
Wo Kehti Hai K Atif Jee Bohat Baatein Banatay Ho
Magar Sach Hai K Ye Baatein Bohat Hi Shaad Rakhti Hain
Mein Kehta Hun Ye Sab Baatein Fasanay Ek Bahana Hain
K Pal Kuch Zindagani K Tumhare Saath Kat Jayen
Phir Uske Baad Khamoshi Ka Dil Kash Raqs Hota Hai
Nigahein Bolti Hain Aur Lab Khamosh Rehte Hain

Shayries By xai

 
Dukhon Kay Shehr Mein Kabhi Raahat Nahi Milti
Kabhi Saathi Nahi Milte Kabhi Chahat Nahi Milti

Kisi Kay Paas Khud Chal Kay Aayen Manzilein
Hamein Manzil Pe Ja Kar Bhi Manzil Nahi Milti

Wo Duniya Kay Bakhairon Mein Is Qadar Gum Ho Gaya Hai Kay
Usay Mujhe Yaad Karne Ki Fursat Nahi Milti


אคเ

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector