ღ~♥●♥════════◄►═════════♥●♥~ღ
Gardishon K Hain Maray Huay Na
Dushmano K Sataye Huay Hain 
Jitne Bhi Zakham Hain Mere Dil Per 
Doston Ke Lagaye Huay Hain

Ishq Ko Rog Maar Dete Hain

Aqal Ko Sog Maar Dete Hain
Aadmi Khud-ba-Khud Nahi Marta
Doosre Log Maar Dete Hain

Log Kaanton Se Bach K Chalte Hain

Humne Phoolon Se Zakhm Khaye Hain
Tum To Gairon Ki Baat Karte Ho
Hum Ne Apne Bhi Aazmaye Hain

Kasaaye-e-Deed Le K Duniya Mein

Maine Deedaar Ki Gadayi Ki
Mere Jitne Bhi Yaar Thay Sab Ne
Hasb-e-Taufeeq Be-Wafai Ki

(Jitne Bhi Zakham Hain Mere Dil Per 
Doston Ke Lagaye Huay Hain)


(O Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat)


Tumhe Dekha To Zahid Ne Kaha
Emaan Hi Ye Hai K Ab Insaan Ko
Sajda Rawa Hone Ka Waqt Aaya
(Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat) 


Ae Mast-e-Naz Dekhne Walon K Dil To Dekh
Paamaal Ho Gaye Teri Raftaar Dekh Kar
(Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat)

 

Giraya Hath Se Sheesha Surahee Tor Di Maine
(Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat) 



Sharaab Seekh Pe Daali Kabaab Sheeshay Mein
(Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat)  


In Ankhon Se Qayamat Ki Nishani Kaun Dekhe Ga
But-e-Kaafir Teri Uth'ti Jawani Kaun Dekhe Ga
(Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat)  

  Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat 
Dil Pe Tuti Hui Hai Qayamat
Har Bala Se Rahe To Salamat
Din Jawani Ke Aaye Huay Hain

(Aur De Mujhko De Aur Saaqi)

Qareeb Aur Bhi Aao K Shauq-e-Deen Mittay
Sharaab Aur Pilao K Kuch Nasha Utray
(Aur De Mujhko De Aur Saaqi)


Apne Dil-e-Sil Chak Ko See Sakta Hun
Mehroom-e-Karam Ho K Bhi Jee Sakata Hun
Mauqoof Nahi Jaam Pe Rindi Meri
Saaqi Tere Ghussay Ko Bhi Pee Sakta Hun
(Aur De Mujhko De Aur Saaqi)


Aur De Mujhko De Aur Saaqi 
Hosh Rehta Hai Thora Sa Baaqi
Aaj Talkhi Bhi Hai Inteha Ki
Aaj Wo Bhi Paraye Huay Hain


Kal Thay Aabaad Pehlu Main Mere
Ab Hain Ghairon Ki Mehfil Main Daire
Meri Mehfil Main Kar K Andhere 
Apni Mehfil Sajaye Huay Hain

Apne Hathon Se Khanjar Chala Kar
Kitna Masum Chehra Bana Kar
Apne Kaandhon Pe Ab Mere Qatil
Meri Mayat Uthaye Huay Hain


Mahwashon Ko Wafa Se Kya Matlab
In But'ton Ko Khuda Se Kya Matlab
Inki Masoom Nazron Ne Nasir
Log Pagal Banaye Huay Hain

Gardishon K Hain Maray Huay Na
Dushmano K Sataye Huay Hain 
Jitne Bhi Zakham Hain Mere Dil Per 
Doston Ke Lagaye Huay Hain

ღ~♥●♥════════◄►═════════♥●♥~ღ
ครเŦ אคเ

 
Ab Kya Sochay Kya Hona Hai Jo Hoga Acha Hoga
Pehle Socha Hota Pagal Ab Rone Say Kya Hoga

Yaar Se Gham Keh Ker To Khush Ho Lekin Tum Yeh Kya Jaano
Tum Dil Ka Rona Rote Thay Woh Dil Mein Hasta Hoga

Aaj Kisi Nahi Dil Tora To Hum Ko Jaisay Dheyaan Aaya
Jiska Dil Hum Nai Tora Tha Woh Jaane Kaisa Hoga

Mere Kuch Pal Mujh Ko Day Do Baaqi Saray Din Logo
Tum Jaisa Jaisa Kehtay Ho Sub Waisa Waisa Hoga

Ab Kya Sooche Kya Hona Hai Jo Hoga Acha Hoga
Pehle Socha Hota Pagal Ab Rone Say Kya Hoga


ครเŦ אคเ

 
Dil-o-Jan Se Utar Jana Kahan Aasaan Hota Hai
Mohabbat Se Mukar Jana Kahan Aasaan Hota Hai

Aaj K Zamanay Mein Kisi Ek Shaks Ki Khatir
Tut Kar Bikhar Jana Kahan Aasaan Hota Hai

Chalo Maana K Jeewan Bhi Saza Se Kam Nahi Hoti
Magar Chahat Mein Mar Jana Kahan Aasaan Hota Hai

Mohabbat K Fasaano Mein Bohat Se Mor Aatay Hain
Par Hadh Se Guzr Jana Kahan Aasaan Hota Hai

Suno Jan-e-Jana Pehle To Sadiyon Baad Milna Aur
Phir Mil K Bichar Jana Kahan Aasaan Hota Hai...!!!

 ครเŦ אคเ
 
Dil K Kuch Armaano K Beech
Kuch Sapno Ko Sota Paaya Maine
Kuch Manzil Mujhe Aisi Mili Ke
Aaj Phir Khud Ko Akela Paaya Maine

Kuch Waado Aur Kasamo Ke Beech
Kayi Naato Ko Toota Hua Paaya Maine
Kuch Jhoote Waado Ka Sila Hai Yeh Ke
Aaj Phir Khud Ko Akela Paaya Maine

Zindagi K Shor-o-Gul K Beech
Kuch Viraano Ko Paaya Maine
Khamosh Pal Aur Anjaane Shakhs Hi Mile K
Aaj Phir Khudko Akela Paaya Maine

Duniya Main Apno Ke Beech
Khud Ko Paraya Paaya Maine
Dost Zindagi Main Kuch Aise Mile K
Aaj Phir Khud Ko Akela Paaya Maine

ครเŦ אคเ
 
Ye Tasalli Hai Kay Hain Na-Shaad Sab
Mein Akela Hi Nahi Barbaad Sab

Sabki Khatir Hain Yahan Ajnabi
Aur Kehne Ko Hai Ghar Abaad Sab

Bhool Kay Sab Ranjishen Sab Ek Hain
Mein Bataon Sabko Hoga Yaad Sab

Sabko Dua-e-Wafa Sabko Yaqeen
Us Adakari Mein Hain Ustaab Sab

Shehr K Haakim Ka Ye Farmaan Hai
Qaid Mein Kehlayenge Azaad Sab

4 Lafzon Mein Kaho Jo Bhi Kaho
Usko Kab Fursat Sunnay Faryaad Sab

Talkhiyan Kaise Na Hon Ashaar Mein
Hum Pe Jo Guzri Hamein Hai Yaad Sab..!!

ครเŦ אคเ

 
Kab Dard K Maaron Ko Sukoon Hota Hai
Jab Ishq Nahi Hota Junoon Nahi Hota Hai

Be-Kas Faqeeron Se Nahi Pochta Koi
Kis Tarha Tamannaon Ka Khoon Hota Hai

Ye Ishq Jo Apna Hamein Honay Nahi Deta
Ye Ishq Bhi Hota Hai To Kyun Hota Hai

Har Shaam Chiraagon Ki Tarha Jalti Hain Ankhain
Mohsin Kya Koi Chala Jaye To Yun Hota Hai...!!!

ครเŦ אคเ
 
Is Shehr Mein Shab-e-Khoon K Aasaar Bohat Hain
Hum Jaag Rahe Hain Is Liye K Gunah-Gaar Bohat Hain

Dushman Mein Meri Pusht Pe Kyun Waar Kiya???
Ye Rasm Nibhane Ko To Mere Yaar Bohat Hain

Har Mor Pe Mil Jatay Hain Humdard Hazaaron
Shayad Mere Shehr Mein Adakaar Bohat Hain

ครเŦ אคเ
 
Maut !
Lehd Mein Bhi Yehi Ghaib-o-Huzoor Rehta Hai
Agar Ho Zinda To Dil Na-Saboor Rehta Hai
Mai-wa-Sitara Misaal Sharara Yak Do Nafas
Mai Khudi Ka Ab'ad Tak Suroor Rehta Hai
Farishta Maut Ka Choota Go Badan Tera
Tere Wajood K Markaz Se Door Rehta Hai


(Allama Iqbal)
 
Maut Ko Samjhay Hain Ghafil Ikhtetaam-e-Zindagi,
Hai Ye Shaam-e-Zindagi, Subha Dawaam-e-Zindagi..!! 
 
Lutf Marne Mein Hai Baaqi Na Maza Jeenay Mein..
Kuch Maza Hai To Yehi Khoon-e-Jigar Peenay Mein..!!

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector