Duniya Mein Bohat Se Log Hain
Shayad Mere Jaisa Koi Nahi
Jis Kay Chahanay Wale To Bohat Hain
Apnanay Wala Koi Nahi
Rishtay Jatanay Wale To Bohat Hain
Saath Nibhaane Wala Koi Nahi
Humraaz To Bohat Hain
Humsafar Koi Nahi
Mein To Us Mujassamay Ki Tarha Hun ..wasi..
Jis Kay Talabgaar To Bohat Hain
Kharidaar Koi Nahi..

xai

 
K A A S H _ T U M _ S A M A J H _ P A T A Y

Kaash Tum Samajh Patay
Kitna Chaha Hai Tumko
Kitna Maanga Hai Tumko
Kis Qadar Mohabbat Hai
Kis Qadar Zaroorat Hai

Kaash Tum Samajh Patay
Jaan Ye Tumhari Hai
Har Khushi Tumhari Hai
Dil Lagi Tumhi Se Hai
Zindagi Tumhi Se Hai

Kaash Tum Samajh Patay
Roh Ki Zaroorat Ho Tum
Dil Ki Ibadat Ho Tum

Kaash Tum Samajh Patay
Sirf Tum Se Mohabbat Hai
Sirf Tumko Chaha Hai

Kaash Tum Samajh Patay
Kaash Tum Samajh Patay

xai

 
Lamha Bhar Apna Hawaaon Ko Bananay Walay
Ab Na Aayenge Palat Kar Kabhi Janay Walay

Kya Milega Tujhe Bikhray Huay Khuwabon K Siwa
Rait Par Chaand Ki Tasweer Bananay Walay

Sab Ne Pehna Tha Baray Shauq Se Kaghaz Ka Libaas
Jis Qadar Log Thay Baarish Mein Nahanay Walay

Mar Gaye Hum To Ye Kutbay Pe Likha Jaye Ga
So Gaye Aap.. Zamanay Ko Jaganay Walay

Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai Qateel
Janay Kis Dais Gaye Pyar Nibhanay Walay

xai

 
Wasi Hum Ne Pyar Kiya Tha..
Ulfat Ka Izhaar Kiya Tha..
Amjad Rang Ek Geet Likha Tha..
Usko Apna Meet Likha Tha..
Nehar Kinaray Peepal Chaaon..
Un Se Yeh Izhaar Kiya Tha..

Jaana Bosa Lene Do..
Dast-e-Hina Chu Lene Do..

Talab Na Paayi Mausam Badla..
Nadi Kinaray Gum Sum Paani..
Hum Se Aaj Ye Kehta Hai..
Wasi Kyun Kar Pyar Kiya Tha?
Kyun Iska Izhaar Kiya Tha?


xai
 
Mere Dil Di Pehli Kahani Parh
Kisi Hor Nu Yaar Banavi Na

Menu Soch Samajh K Dil Devin
Mere Naal Mazaak Banavi Na

Is Pyar Vich Rolay Hunde Ne
Dil Qayam Rakhin Ghabravin Na

Je Tu Mange Te Mein Jind De Saan
Par Kisi Hor Nu Yaar Banavi Na

Vairy Jag Saara Is Pyar Da Ay
Be-Qadray Nu Dard Sunavi Na

Har Ek Ni Hunda Pyar De Qabil
Aey Gal Meri Tu Bhulavi Na

Je Mil Jaway Tenu Yaar Sacha
Is Yaar Nu Kadi Bhulavi Na

xai

 
Tumhen Kuch Farq Nahi Parhta
Mein Tumse Rooth Jaon To
Tumhare Paas Na Aaon To
Phir Tumse Door Ja Kar Mein
Kabhi Wapas Na Aaon To
Tumhari Yaad Mein Gum-Sum
Kabhi Aansu Bahaon To

Tumhen Kuch Farq Nahi Parhta
Tumhare Pyar Mein Aksar
Khud Ko Bhool Jaon To
Mein Teri Deed Mein Tanha
Kabhi Khud Ko Mitaon To
Mein Tumse Door Reh Kar Phir
Akele Mar Bhi Jaon To

Tumhen Kuch Farq Nahi Parhta
Hai Na !!!

xai 

 
Waqt Nikaal K Chota Sa Mera Kaam Kiya Kar
Tu Kuch Dair Mujhe Yaad Har Shaam Kiya Kar

Ameer-e-Shehr Se Na Barha Rasm-o-Rah
Ghareeb-e-Shehr Ko Jhuk K Salaam Kiya Kar

Nahi Maangte Mohabbat Ki Bheek Tumse
Hum Ehl-e-Dil Hain Hamara Ehteraam Kiya Kar

Tabiyat Behl Si Jati Hai Tumse Baat Kar K
Shaam Ka Koi Pehr Mere Naam Kiya Kar

Tumhein Mujhse Jo Gilay Hain Mere Saath Kar
Yun Naraazgi Ka Charcha Na Sar-e-Aam Kiya Kar

xai

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector