Kuch Panchi Jhund Mein Urtay Hon,
Aur Rasta Bhi Kuch Mushkil Ho,
Kuch Door Ufaq Pe Manzil Ho,
Ek Panchi Ghayal Ho Jaye,
Aur Be-Dum Ho Kar Gir Jaye,
To Rishte Naatay Pyaray Sab,
Kab Uski Khatir Rukte Hain?
Is Duniya Ki Hai Reet Yehi,
Jo Saath Chalo To Saath Bohat,
Jo Ruk Jao To Tanha Ho !!!

ครเŦ אคเ
 
Main Titliyon Ko Sula Dunga Zara Tum Shaam Hone Do,
Main Jugnuon Ko Jaga Dunga Zara Tum Shaam Hone Do,
Meri Gham-Nak Aankhon Ko Na Tum Dekho Haqarat Se,
Main Tumko Bhi Rula Dunga Zara Tum Shaam Hone Do,
Kahan Aaghaaz Hota Hai Kahan Anjaam Hota Hai,
Hunar Saaray Sikha Dunga Zara Tum Shaam Hone Do,
Jo Tum Ne Mujhse Pocha Hai Kahan Hogi Tumhari Shaam,
Jahan Hogi Bata Dunga Zara Tum Shaam Hone Do...!!!

ครเŦ אคเ

 
Bigra Mera Naseeb To Sab Kuch Sanwar Gaya,
Kaanton Pe Mein Gira Aur Zamana Guzar Gaya,
Toofan Se Thak Kay Mein Ne Kashti Chor Di,
Jab Doob Mein Chuka To Samandar Thehr Gaya,
Kuch Yaadein Thin Mere Paas Buray Waqt Ki,
Unko Samaitnay Mein Main Khud Hi Bikhar Gaya,
Manzil Ko Dhoondta Tha Musafir Ye Kya Hua,
Ek Rah-Guzr Pe Uska Safar Bhi Bichar Gaya,
Dhalnay Lagi Hai Raat Chalay Jao Doston,
Mujhko Bhi Dhoondna Hai Mera Ghar Kidhar Gaya...!!!

ครเŦ אคเ

 
Zameen Pe Na Chal Saka Aasmaan Se Bhi Gaya,
Katay Jo Par To Parinda Uraan Se Bhi Gaya,
Bhula Diya To Bhulanay Ki Inteha Kar Di,
Main Ab Us Shaks K Wehm-o-Gumaan Se Bhi Gaya,
Kisi K Haath Se Nikla Hua Wo Teer Hun Main,
Hadaf Ko Choo Na Saka Aur Kamaan Se Bhi Gaya,
Tabha Kar Gayi Mujhe Pakkay Ghar Ki Khuwahish,
Main Apne Gaon K Kachay Makaan Se Bhi Gaya,
Aag Mein Koodha Bhi To Kya Mila Mujhe Mohsin,
Tumhain Bhi Paa Na Saka Aur Apni Jaan Se Bhi Gaya...!!!


ครเŦ אคเ

 
Bura Na Maan Agar Tujhko Pyar Karta Hun,
Gunah Konsa Aisa Mein Yaar Karta Hun,
Meri Khataon Mein Meri Samaj Ka Nahi Koi Dakhal,
Mein Jo Bhi Karta Hun Be-Ikhteyaar Karta Hun,
Tu Kitne Pyar K Qabil Hai Kya Khaber Mujhko,
Kay Mein To Jitna Bhi Mumkin Hai Pyar Karta Hun,
Wo Ghair Ho Ya Sajan Koi Bhi Ho Magar Us Se,
Mein Tera Tazkira Deewana Waar Karta Hun,
Khuda Ki Duniya Se Itni Mohabbat Nahi Hai Shayad,
Khuda Kay Ek Banday Ko Mein Jitna Pyar Karta Hun...!!!


ครเŦ אคเ
 
Rakh K Tere Honton Pe Hont..
Apni Saansen Tujh Mein Utaar Dun,
Lipta Rahun Tumse Raat Bhar..
Teri Rooh Ko Khud Mein Utaar Dun,
Sar Se Paaon Tak Choom Choom Kar..
Tere Tan Badan Mein Bijli Utaar Dun,
Choos Kar Tere Narm Honton Ko..
Tere Honton Ki Rangat Nikhaar Dun,
Sar Se Paon Tak Tu Nasha Hai Sanam..
Kaash Zindagi Is Nashay Mein Guzaar Dun..!!

ครเŦ אคเ 
 
Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Shaam Hone Do,
Mein Khud Hi Laut Jaonga Mujhe Na-Kaam Hone Do,

Mujhe Bad-Naam Karne K Bahanay Dhondtay Ho Kyun???
Mein Khud Ho Jaonga Bad-Naam, Pehle Naam Hone Do,

Abhi Mujhko Nahi Karna Hai Aiteraaf-e-Shikast Apna,
Mein Sab Tasleem Kar Lunga Ye Charcha Aam Hone Do,

Meri Hasti Nahi Anmol, Phir Bhi Bik Nahi Sakti,
Wafaein Baich Dena Para Zara Neelaam Hone Do,

Naye Aaghaaz Mein Hi Hosla Kyun Tor Baithe Ho???
Sabhi Kuch Tum Hi Jeeto Gay, Zara Anjaam Hone Do..!!!


ครเŦ אคเ
 
Mohabbaton Pe Bohat Aitemad Kya Karna,
Bhula Chukay Hain Usay Phir Se Yaad Kya Karna,

Wo Be-Wafa Hi Sahi Us Pe Tohmatein Kaisi,
Zara Si Baat Pe Itna Fasaad Kya Karna,

Mukhalifon Se To Mumkin Hai Dosti Apni,
Munafiqon Se Magar Ahtiyaat Kya Karna,

Nigah Mein Jo Utarta Hai Dil Se Kyun Utray,
Dil-o-Nigah Mein Paida Tizaad Kya Karna,

Mein Is Liye Usay Ab Tak Na Chu Saka Mohsin,
Wo Aaina Hai Usay Sang Zaad Kya Karna...!!!


ครเŦ אคเ
 
Kya Rog Paal Baithe Mohabbat K Shauq Mein,
Duniya Se Kat Gaye Teri Qurbat K Shauq Mein,

Guzray Hain Kitne Log Hamein Rondtay Huay,
Pamaal Ho Gaye Hain Rafaqat Kay Shauq Mein,

Ab Wo Bhi Humko Jaantay Pehchantay Nahi,
Ruswa Huay Hain Jinki Wakalat K Shauq Mein..


ครเŦ אคเ

 
Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi,
Uski Ankhon Mein Chamak Thi Kabhi Heeron Jaisi,

Kitne Magroor Paharon Kay Badan Chaak Huay,
Taiz Kirnon Ki Jo Barish Hui Teeron Jaisi,

Jiski Yaadon Se Khayalon Kay Khazanay Dekhe,
Uski Soorat Bhi Lagi Aaj Faqeeron Jaisi,

Chahatein Lab Pe Machalti Hui Larki Ki Tarha,
Hasratein Aankh Mein Zindaan K Aseeron Jaisi,

Hum Anaa Parast Tang-Dast Bohat Hain Mohsin,
Ye Alag Baat Hai K Aadat Hai Ameeron Jaisi...!!!

ครเŦ אคเ

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector