Wo Kehti Hai Suno Jaana Mohabbat Mom Ka Ghar Hai
Tapish Ye Bad-Gumani Ki Kahin Pighla Na De Isko
Mein Kehta Hun K Jis Dil Mein Zara Bhi Bad-Gumani Ho
Wahan Kuch Aur Ho To Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti
Wo Kehti Hai Sadaa Aise Hi Kya Tum Mujhko Chaho Gay
K Mein Is Main Kami Bilkul Gawara Kar Nahi Sakti
Mein Kehta Hun Mohabbat Kya Hai Ye Tum Ne Shikhaya Hai
Mujhe Tumse Mohabbat K Siwa Kuch Bhi Nahi Aata
Wo Kehti Hai Judai Se Boht Darta Hai Mera Dil
K Khud Ko Tumse Hat Kar Dekhna Mumkin Nahi Hai Ab
Mein Kehta Hun Yehi Khadshay Bohat Mujhko Satatay Hain
Magar Sach Hai Mohabbat Mein Judai Saath Chalti Hai
Wo Kehti Hai Batao Kya Mere Bin Jee Sako Gay Tum
Meri Baatein Meri Yaadein Meri Aankhein Bhula Do Gay
Mein Kehta Hun Kabhi Is Baat Pe Socha Nahi Maine
Agar Ek Pal Ko Bhi Sochon To Saansen Ruknay Lagti Hain
Wo Kehti Hai Tumhe Mujhse Mohabbat Is Qadar Kyun Hai
K Main Ek Aam Si Larki Tumhe Kyun Khaas Lagti Hun
Mein Kehta Hun Kabhi Khud Ko Meri Aankhon Se Tum Dekho
Meri Deewangi Kyun Hai Ye Khud Hi Jaan Jao Gi
Wo Kehti Hai Mujhe Waraftagi Se Dekhte Kyun Ho
K Mein Khud Ko Boht Hi Qeemti Mehsoos Karti Hun
Mein Kehta Hun Mata-e-Jan Bohat Anmol Hoti Hai
Tumhen Jab Dekhta Hun Zindagi Mehsos Karta Hun
Wo Kehti Hai Mujhe Alfaaz K Jugnu Nahi Miltay
Tumhen Batla Sakun Dil Mein Mere Kitni Mohabbat Hai
Mein Kehta Hun Mohabbat To Nigahon Se Chalakti Hai
Tumhari Khamoshi Mujhse Tumhari Baat Karti Hai
Wo Kehti Hai Batao Na Kisay Khonay Se Dartay Ho
Batao Kaun Hai Wo Jis Ko Ye Mausam Bulatay Hain
Mein Kehta Hun Ye Meri Shayri Hai Aaina Dil Ka
Zara Dekho Batao Tumko Kya Is Mein Nazr Aaya
Wo Kehti Hai K Atif Jee Bohat Baatein Banatay Ho
Magar Sach Hai K Ye Baatein Bohat Hi Shaad Rakhti Hain
Mein Kehta Hun Ye Sab Baatein Fasanay Ek Bahana Hain
K Pal Kuch Zindagani K Tumhare Saath Kat Jayen
Phir Uske Baad Khamoshi Ka Dil Kash Raqs Hota Hai
Nigahein Bolti Hain Aur Lab Khamosh Rehte Hain

Shayries By xai




Leave a Reply.

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector