Aapko Bhool Jayen Hum Itne To Be-Wafa Nahi
Aap Se Kya Gila Karen Aap Se Kuch Gila Nahi

Hum To Samaj Rahe Thay Ye Tum Milay Pyar Mil Gaya
Ek Tere Dard Kay Siwa Humko To Kuch Mila Nahi

Sheesha-e-Dil Ko Torna Unka To Ek Khel Hai
Hum Hi Se Bhool Ho Gayi Unki Koi Khata Nahi

Kaash Wo Apne Gham Mujhe De De To Kuch Sukoon Milay

Wo Kitna Bad-Naseeb Hai Gham Bhi Jisay Mila Nahi

 
   Baaghi Main Aadmi Se Na Munkir Khuda Ka Tha
    Dar'paish Masla Meri Apni Anna Ka Tha

    Apne Dhuwain Ko Chor Gaya Aasman Par
    Bujhtay Huay Diye Mein Ghuroor Inteha Ka Tha

    Dekha To Woh Haseen Laga Saaray Sheher Mein
    Socha To Woh Zaheen Bhi Zaalim Bala Ka Tha

    Main Khush Hua K Log Ikkathay Hain Sheher Mein
    Bahar Gali Mein Shor Lekin Hawa Ka Tha

    Usko Ghilaaf-e-Rooh Mein Rakha Sambhaal Kar
    MOHSIN Wo Zakham Bhi To Kissi Aashna Ka Tha..

    xai
 
Ye Mast Mast Be-Misaal Aankhen
Nashay Se Har Dum Nidhaal Aankhen

Uthen To Hosh-o-Hawaas Cheenen
Giren To Kar Dain Kamaal Aankhen

Koi Hai Inke Karam Ka Taalib
Kisi Ka Shauq-e-Wisaal Aankhen

Na Yun Jalayen Na Yun Satayen
Karen To Kuch Ye Khayal Aankhen

Hain Jeene Ka Ek Bahana Yaaro
Ye Roh Parwar Jamaal Aankhen

Daraaz Palken Ghazal Aankhen
Musawari Ka Kamaal Aankhen

Sharaab Rab Ne Haraam Kar Di
Magar Rakhin Hain Halaal Aankhen

Hazaron In Se Qatal Huay Hain
Khuda Kay Banday Sambhaal Aankhen

xai
 

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector