Uski Kaali Aankhon Mein Hain Antar Mantar Sab..
Chaaku Waaku, Churiyaan Wuriyan, Khanjar Wanjar Sab..

Jis Din Se Tum Roothay Mujh Se, Roothay Roothay Hain..
Chaadar Waadar, Takiya Wakiya, Bistar Wistar Sab..

Mujhse Bichar Kar Wo Bhi, Kahan Ab Pehle Jaisa Hai..
Pheeke Par Gaye Nain Wain, Kapray Wapray, Zaiwar Waiwar Sab..

xai

 
 
Muhabbat Mein Wafaadaari Se Bachiye
Jahan Tak Ho Adakaari Se Bachiye

Har Ek Soorat Bhali Lagti Hai Kuch Din
Lahoo Ki Shobdaa-Kaari Se Bachiye

Sharaafat, Aadmiyat, Dard–Mandi !!
Baray Shehron Mein Beemaari Se Bachiye

Zaroori Kya Har Ek Mehfil Mein Aana
Takalluf Ki Rawadaari Se Bachiye

Bina Pairon Kay Sar Chalte Nahi Hain
Buzurgon Ki Samajhdari Se Bachiye


xai
 
Wo Tulu-e-Aftab Se Yaad Aate Hain Aksar 
Unki Furqat Main Hum Dil Jalatay Hain Aksar 

Din Guzar Jata Hai Yaadon Main Unki 
Shaam Hone Par Phir Ashk Behtay Hain Aksar 

Saara Aalam Raat Ko Soo Jata Hai Jab 
Guzray Huay Lamhaat Mujhko Satatay Hain Aksar

Jab Afsurda Hota Hai Dil Ka Aangan Mera
Geet Ghamon Kay Gun'gunatay Hain Aksar 

Kabhi Aatay Hain Jo Khuwabon Main Milnay 
Aankh Khulney Se Pehle Wo Chor Jatay Hain Aksar 


xai
 
Haq Meri Mohabbat Ka Ada Kyun Nahi Karte ?
Tum Dard To Detay Ho, Dawa Kyun Nahi Karte ?

Kyun Baithay Ho Khamosh Is Tarha Mere Paas Aa Kar ?
Tum Mere Marnay Ki Duaa Kyun Nahi Karte ?

Phoolon Ki Tarha Jism Hai Pathar Ki Tarha Dil,
Janay Tum Mujhse Wafa Kyun Nahi Karte ?

Aankhon Ki Adalat Se Bari Kar To Diya Hai,
Zulfon Se Meri Jaan Reha Kyun Nahi Karte ?

xai

 
Kitni Shaamein Roshan Hongi Kitne Deep Jalaogi ?
Pyar Ki Pehli Saalgira Tum Kis Kay Sath Manaogi ?

Mein To Ruksat Ho Hi Raha Tha Aaj Tumhari Galiyon Se,
Ab Tum Kis Kay Sath Rahogi ! Kis Ka Sath Nibhaogi ?

Aakhir Woh Din Kab Aayega ! Khilwat Mein Mujhse Tum,
Mere Dil Ka Haal Sunogi, Apna Haal Sunaogi ?

Farz Karo Agar Baad-e-Furkat Mein Tumko Mil Jaon To,
Hairat Mein Par Jaogi Ya Seenay Se Lag Jaogi ?

Jaanay Se Pehle Bas Itna Soch Lo Gar To Behtar Hai,
Dil Ki Galiyan Band Milengi Jab Tum Laut Kar Aaogi..

Theek Hai Tum Lota Do Mujhko Mere Tohfay Aur Khutoot,
Lekin Jo Din Pyar Mein Guzray Wo Kaise Lotaogi ?

Ho Jao Tum Laakh Kisi Ki.. Lekin Phir Bhi Tum,
Mujhse Hi Mansoob Rahogi.. Meri Hi Kehlaogi !!!

xai
 

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector