Tujhse Ru-Ba-Ru Ho Kar Baatein Karun,
Nigahein Mila Kar Wafa Ke Waade Karun,
Teri Har Ek Ada Par Kar Dun Kayi Shayari,
Har Lafz Mein Wafa Ke Daaway Karun,
Sambhale Nahi Sambhalti Ye Dil Ki Tadap,
Tu Hi Bata Main Kab Tak Yunhi Aahein Bharun..!!!

xai

 
Sab Khuloos Baaton Mein Sab Karam Khayalon Mein
Bas Zara Wafa Kam Hai Tere Shehr Walon Mein

Pehli Baar Nazron Ne Chaand Boltay Dekha Hai
Hum Jawab Kya Detay Kho Gaye Sawalon Mein

Raat Teri Yaadon Ne Dil Ko Is Tarha Che'ra
Jaise Koi Chutki Le Naram Naram Gaalon Mein

Yun Kisi Ki Aankhon Mein Subha Tak Thay Hum
Jis Tarha Rahe Shabnam Phool Kay Pyaalon Mein

Meri Aankh Kay Taaray Ab Na Dekho Gay Mohsin
Hum Raat Kay Musafir Thay Kho Gaye Ujaalon Mein

xai
 
Uski Kaali Aankhon Mein Hain Antar Mantar Sab..
Chaaku Waaku, Churiyaan Wuriyan, Khanjar Wanjar Sab..

Jis Din Se Tum Roothay Mujh Se, Roothay Roothay Hain..
Chaadar Waadar, Takiya Wakiya, Bistar Wistar Sab..

Mujhse Bichar Kar Wo Bhi, Kahan Ab Pehle Jaisa Hai..
Pheeke Par Gaye Nain Wain, Kapray Wapray, Zaiwar Waiwar Sab..

xai

 
 
Muhabbat Mein Wafaadaari Se Bachiye
Jahan Tak Ho Adakaari Se Bachiye

Har Ek Soorat Bhali Lagti Hai Kuch Din
Lahoo Ki Shobdaa-Kaari Se Bachiye

Sharaafat, Aadmiyat, Dard–Mandi !!
Baray Shehron Mein Beemaari Se Bachiye

Zaroori Kya Har Ek Mehfil Mein Aana
Takalluf Ki Rawadaari Se Bachiye

Bina Pairon Kay Sar Chalte Nahi Hain
Buzurgon Ki Samajhdari Se Bachiye


xai
 
Wo Tulu-e-Aftab Se Yaad Aate Hain Aksar 
Unki Furqat Main Hum Dil Jalatay Hain Aksar 

Din Guzar Jata Hai Yaadon Main Unki 
Shaam Hone Par Phir Ashk Behtay Hain Aksar 

Saara Aalam Raat Ko Soo Jata Hai Jab 
Guzray Huay Lamhaat Mujhko Satatay Hain Aksar

Jab Afsurda Hota Hai Dil Ka Aangan Mera
Geet Ghamon Kay Gun'gunatay Hain Aksar 

Kabhi Aatay Hain Jo Khuwabon Main Milnay 
Aankh Khulney Se Pehle Wo Chor Jatay Hain Aksar 


xai
 
Haq Meri Mohabbat Ka Ada Kyun Nahi Karte ?
Tum Dard To Detay Ho, Dawa Kyun Nahi Karte ?

Kyun Baithay Ho Khamosh Is Tarha Mere Paas Aa Kar ?
Tum Mere Marnay Ki Duaa Kyun Nahi Karte ?

Phoolon Ki Tarha Jism Hai Pathar Ki Tarha Dil,
Janay Tum Mujhse Wafa Kyun Nahi Karte ?

Aankhon Ki Adalat Se Bari Kar To Diya Hai,
Zulfon Se Meri Jaan Reha Kyun Nahi Karte ?

xai

 
Kitni Shaamein Roshan Hongi Kitne Deep Jalaogi ?
Pyar Ki Pehli Saalgira Tum Kis Kay Sath Manaogi ?

Mein To Ruksat Ho Hi Raha Tha Aaj Tumhari Galiyon Se,
Ab Tum Kis Kay Sath Rahogi ! Kis Ka Sath Nibhaogi ?

Aakhir Woh Din Kab Aayega ! Khilwat Mein Mujhse Tum,
Mere Dil Ka Haal Sunogi, Apna Haal Sunaogi ?

Farz Karo Agar Baad-e-Furkat Mein Tumko Mil Jaon To,
Hairat Mein Par Jaogi Ya Seenay Se Lag Jaogi ?

Jaanay Se Pehle Bas Itna Soch Lo Gar To Behtar Hai,
Dil Ki Galiyan Band Milengi Jab Tum Laut Kar Aaogi..

Theek Hai Tum Lota Do Mujhko Mere Tohfay Aur Khutoot,
Lekin Jo Din Pyar Mein Guzray Wo Kaise Lotaogi ?

Ho Jao Tum Laakh Kisi Ki.. Lekin Phir Bhi Tum,
Mujhse Hi Mansoob Rahogi.. Meri Hi Kehlaogi !!!

xai
 

 
Aapko Bhool Jayen Hum Itne To Be-Wafa Nahi
Aap Se Kya Gila Karen Aap Se Kuch Gila Nahi

Hum To Samaj Rahe Thay Ye Tum Milay Pyar Mil Gaya
Ek Tere Dard Kay Siwa Humko To Kuch Mila Nahi

Sheesha-e-Dil Ko Torna Unka To Ek Khel Hai
Hum Hi Se Bhool Ho Gayi Unki Koi Khata Nahi

Kaash Wo Apne Gham Mujhe De De To Kuch Sukoon Milay

Wo Kitna Bad-Naseeb Hai Gham Bhi Jisay Mila Nahi

 
   Baaghi Main Aadmi Se Na Munkir Khuda Ka Tha
    Dar'paish Masla Meri Apni Anna Ka Tha

    Apne Dhuwain Ko Chor Gaya Aasman Par
    Bujhtay Huay Diye Mein Ghuroor Inteha Ka Tha

    Dekha To Woh Haseen Laga Saaray Sheher Mein
    Socha To Woh Zaheen Bhi Zaalim Bala Ka Tha

    Main Khush Hua K Log Ikkathay Hain Sheher Mein
    Bahar Gali Mein Shor Lekin Hawa Ka Tha

    Usko Ghilaaf-e-Rooh Mein Rakha Sambhaal Kar
    MOHSIN Wo Zakham Bhi To Kissi Aashna Ka Tha..

    xai
 
Ye Mast Mast Be-Misaal Aankhen
Nashay Se Har Dum Nidhaal Aankhen

Uthen To Hosh-o-Hawaas Cheenen
Giren To Kar Dain Kamaal Aankhen

Koi Hai Inke Karam Ka Taalib
Kisi Ka Shauq-e-Wisaal Aankhen

Na Yun Jalayen Na Yun Satayen
Karen To Kuch Ye Khayal Aankhen

Hain Jeene Ka Ek Bahana Yaaro
Ye Roh Parwar Jamaal Aankhen

Daraaz Palken Ghazal Aankhen
Musawari Ka Kamaal Aankhen

Sharaab Rab Ne Haraam Kar Di
Magar Rakhin Hain Halaal Aankhen

Hazaron In Se Qatal Huay Hain
Khuda Kay Banday Sambhaal Aankhen

xai
 

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector