Khizan Raseeda Chaman Mein Bahaar Mushkil Hai
Tumhare Baad Kahin... Aitebaar Mushkil Hai

Kisi Se... Is Liye Dushwaar Hai Khafa Hona
Mananay Aayega Humko Bhi Yaar Mushkil Hai

Ajeeb Raaz-e-Junoon Tha Jo Mere Dil Pe Khula
Teri Gali Mein Bhi Aa Kar Qaraar Mushkil Hai

Hamara Kaun Hai ??? Ehl-e-Jafa Ki Basti Mein
Milay Ga Koi Hamein Gham Gusaar Mushkil Hai

Kahan Chalay Ho Mohabbat Khareednay ???
Baghair Sood Kay Milna Udhaar Mushkil Hai

xai

 
Shikwa-e-Ishq Nahi Jurrat-e-Guftaar Nahi
Mere Haathon Mein Koi Jabr Ki Talwaar Nahi

Ibn-e-Adam Hoon Insaan Se Mohabbat Ki Hai
Aag Ka, Chaand Ka, Pathar Ka Parastaar Nahi

Ae Khuda
Mujhko Ibadat Kay Ewaz Meri Mohabbat De De
Mein Teri Kisi Jannat Ka Khareedaar Nahi

Jis Ne Insaan Se Mohabbat Hi Na Ki Ho Iqbal
Dar Haqeeqat Wo Khuda Ka Bhi Talabgaar Nahi

xai

 
Dabi Dabi Si Wo Muskurahat Labon Pe Apne Saja Saja K
Wo Narm Lehjay Main Baat Karna Ada Se Nazrein Jhuka Jhuka K

Wo Aankh Teri Shararti Si Wo Zulf Maathay Pe Naachti Si
Nazr Hatay Na Ek Pal Bhi Main Thak Gaya Hun Hata Hata K

Wo Tere Haathon Ki Ungliyon Ko Mila K Zulfon Mein Kho Sa Jana
Haya Ko Chehre Pe Phir Sajana Phool Chehra Khila Khila K

Wo Hath Hooron K Gar Hon Jese Wo Paaon Pariyon K Par Hon Jese
Nahi Hai Teri Misaal Jaana Main Thak Gaya Hun Bata Bata K..

xai

 
Karri Dhoop Mein Jaltay Huay Paon Ki Tarha
Wo Kisi Aur Kay Aangan Mein Hai Chaon Ki Tarha

Wo To Waqif Hai Mere Jazbon Ki Sachai Se
Phir Kyun Khamosh Hai Pathar Kay Khudaon Ki Tarha

Mein To Khushbu Ki Tarha Saath Raha Honga Uske
Wo Bhatakta Raha Be-Chain Hawaon Ki Tarha

Jo Barbaad Huay Thay Wohi Bad-Naam Huay
Wo To Masoom Raha Apni Adaaon Ki Tarha

Gham To Hai Kay Hamein Koi Khushi Raas Na Aayi
Zindagi Kaat Rahe Hain Hum Sazaaon Ki Tarha

xai

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector