ღ~♥●♥════════◄►═════════♥●♥~ღ
Gardishon K Hain Maray Huay Na
Dushmano K Sataye Huay Hain 
Jitne Bhi Zakham Hain Mere Dil Per 
Doston Ke Lagaye Huay Hain

Ishq Ko Rog Maar Dete Hain

Aqal Ko Sog Maar Dete Hain
Aadmi Khud-ba-Khud Nahi Marta
Doosre Log Maar Dete Hain

Log Kaanton Se Bach K Chalte Hain

Humne Phoolon Se Zakhm Khaye Hain
Tum To Gairon Ki Baat Karte Ho
Hum Ne Apne Bhi Aazmaye Hain

Kasaaye-e-Deed Le K Duniya Mein

Maine Deedaar Ki Gadayi Ki
Mere Jitne Bhi Yaar Thay Sab Ne
Hasb-e-Taufeeq Be-Wafai Ki

(Jitne Bhi Zakham Hain Mere Dil Per 
Doston Ke Lagaye Huay Hain)


(O Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat)


Tumhe Dekha To Zahid Ne Kaha
Emaan Hi Ye Hai K Ab Insaan Ko
Sajda Rawa Hone Ka Waqt Aaya
(Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat) 


Ae Mast-e-Naz Dekhne Walon K Dil To Dekh
Paamaal Ho Gaye Teri Raftaar Dekh Kar
(Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat)

 

Giraya Hath Se Sheesha Surahee Tor Di Maine
(Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat) 



Sharaab Seekh Pe Daali Kabaab Sheeshay Mein
(Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat)  


In Ankhon Se Qayamat Ki Nishani Kaun Dekhe Ga
But-e-Kaafir Teri Uth'ti Jawani Kaun Dekhe Ga
(Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat)  

  Jab Se Dekha Tere Qad-o-Kamat 
Dil Pe Tuti Hui Hai Qayamat
Har Bala Se Rahe To Salamat
Din Jawani Ke Aaye Huay Hain

(Aur De Mujhko De Aur Saaqi)

Qareeb Aur Bhi Aao K Shauq-e-Deen Mittay
Sharaab Aur Pilao K Kuch Nasha Utray
(Aur De Mujhko De Aur Saaqi)


Apne Dil-e-Sil Chak Ko See Sakta Hun
Mehroom-e-Karam Ho K Bhi Jee Sakata Hun
Mauqoof Nahi Jaam Pe Rindi Meri
Saaqi Tere Ghussay Ko Bhi Pee Sakta Hun
(Aur De Mujhko De Aur Saaqi)


Aur De Mujhko De Aur Saaqi 
Hosh Rehta Hai Thora Sa Baaqi
Aaj Talkhi Bhi Hai Inteha Ki
Aaj Wo Bhi Paraye Huay Hain


Kal Thay Aabaad Pehlu Main Mere
Ab Hain Ghairon Ki Mehfil Main Daire
Meri Mehfil Main Kar K Andhere 
Apni Mehfil Sajaye Huay Hain

Apne Hathon Se Khanjar Chala Kar
Kitna Masum Chehra Bana Kar
Apne Kaandhon Pe Ab Mere Qatil
Meri Mayat Uthaye Huay Hain


Mahwashon Ko Wafa Se Kya Matlab
In But'ton Ko Khuda Se Kya Matlab
Inki Masoom Nazron Ne Nasir
Log Pagal Banaye Huay Hain

Gardishon K Hain Maray Huay Na
Dushmano K Sataye Huay Hain 
Jitne Bhi Zakham Hain Mere Dil Per 
Doston Ke Lagaye Huay Hain

ღ~♥●♥════════◄►═════════♥●♥~ღ
ครเŦ אคเ

Prak
7/29/2012 11:25:02 pm

Thanks a lot buddy for the wonderful lyrics... There is a suggestion. You should include this link in your blog - http://www.youtube.com/watch?v=-9r0tG1TIeU. It is a complete song so there would be only video instead of two.

Reply
Asif Khan Zai
7/31/2012 11:26:01 am

Thanx .. Park for the link.. i am including that video.

Reply
Prak
7/29/2012 11:31:30 pm

Buddy can you please mail me the translation of this .. i am not very well versed in urdu and want to know translations of few lines... This will be very helpful...

Reply
Asif Khan Zai
7/31/2012 11:27:08 am

Ask me which words you didnt understand...

Reply
saqib abbasi
5/10/2018 11:01:20 pm

qad-o-kaamat
ka matalb

Shikhar Verma
4/1/2020 11:40:24 am

Kasaaye-e-deed
Gadayi
Hasb-e-taufeeq
Mast-e-naz
Bur-e-kaafir
Shauk-e-deen
Talkhi; ane
Nasir
Please tell these words meaning

ana
8/14/2012 09:08:18 pm

yes please, i would like the translation also

Reply
xai
8/27/2012 12:59:52 pm

so you want me to translate the whole in which language?? or u just want me to make a bit easier in urdu.. rep

Munaf
12/20/2012 02:48:54 pm

Thank you for posting the lyrics.
What is the meaning of Qad-O-Kamat?

Reply
xai
12/28/2012 04:24:44 am

Qad-o-Qamat Yaani Height .. Onchai

Reply
Faisal
10/2/2013 07:32:16 pm

Here Qad.o.qamat means personality

Reply
as vicky
11/30/2013 12:33:18 pm

i luv dis song and thankx for dese wondrful lyrics heart touching lyrics

Reply
Grewal
2/20/2014 03:08:27 pm

Thanks a lot Asif Khan Zai.
Please tell me the meaning of the following words:
Kasaaye-e-deed
Gadayi
Hasb-e-taufeeq
Shauk-e-deen
Talkhi; ane
Nasir

Thank you for the lyrics once again

Reply
7/30/2015 06:02:17 am

Can anyone translate the song in english

Reply
12/2/2015 08:37:38 pm

I am going to try to translate this. However it's advanced Urdu. So it will take some time. There may be errors.
Email me if you want it.

Reply
12/2/2015 08:55:52 pm

This is so far. Please use a link to my Name and email address if you use this. Muhammad Daniyal Shaikh

Gardishon K Hain Maray Huay Na (Afflicted with suffering)
Dushmano K Sataye Huay Hain (Troubled by enemies)
Jitne Bhi Zakham Hain Mere Dil Per (All the wounds on my heart)
Doston Ke Lagaye Huay Hain (Are caused by friends)
Ishq Ko Rog Maar Dete Hain (Love is killed by Malady)
Aqal Ko Sog Maar Dete Hain (Intelligence is Killed by Mourning)
Aadmi Khud-ba-Khud Nahi Marta (Children of Adam doesn’t die for without cause)
Doosre Log Maar Dete Hain (Other people cause his death)

Log Kaanton Se Bach K Chalte Hain (People walk cautiously, avoiding thorns)
Humne Phoolon Se Zakhm Khaye Hain (We (I) have been wounded by flowers)
Tum To Gairon Ki Baat Karte Ho (You’re discussing strangers)
Hum Ne Apne Bhi Aazmaye Hain (We (I) have tried acquaintances/loved ones)(for loyalty))

Reply
Rumana
5/28/2019 09:09:15 am

Aaj talqi bhi hai Inteha bhi ..this line in simple Urdu ..n mehwasho ko khuda se kya MATLAB this one pls translate

TAIBA SHEIK
8/24/2022 01:15:10 am

please share the rest of the song in English as well .

asim munir
3/16/2017 09:21:29 am

that its great guzal
thats guzal sung by nusrat sb very lege ndrey si nger of world

Reply
Fathima Adam
5/7/2017 08:04:16 am

Can you please email me english translation of the full song.
Thanking you in advance

Reply
Saqi
8/8/2017 01:30:14 pm

thank jani for lyrics

Reply
ShaMeela Cassim
9/17/2017 06:36:23 am

Hi
Can someone please email me the full English translation of this song
Thanks

Reply
Ayushmaan Shukla
10/6/2017 11:12:44 pm

Cann anyone translate the full song into english...plz

Reply
ARSHAD ALI
10/15/2017 05:50:37 pm

Yeh Ghazal Ki Shaair Ki Hai ????

Reply
Aminah
10/23/2021 06:12:10 pm

Can u plz email the full translation to me as well. Plzzzz

Reply
TAIBA SHEIK
8/24/2022 01:14:32 am

please share the full song with the English meaning it will mean a lot

Reply



Leave a Reply.

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector