ہم نے دئیے جلا کے کاغذ پر ...... Hum Ne Diye Jala Kay Kaghaz Par
نقش چھوڑے وفا کے کاغذ پر ...... Naqsh Choray Wafa Kay Kaghaz Par

اور پھر ان میں ڈھونڈھئے خوشبو ...... Aur Phir Un Main Dhoondiye Khushboo
پھول کلیاں کھلا کے کاغذ پر ...... Phool Kaliyan Khila Kay Kaghaz Par

میں تھا بکھرا پوا زمانے میں ...... Main Tha Bikhra Hua Zamanay Main
تُم نے رکھا اٹھا کے کاغذ پر ...... Tum Ne Rakha Utha Kay Kaghaz Par

حال اپنا کیا بیاں سارا ...... Haal Apna Kiya Beyaan Saara
اُس نے اآنسو بہا کے کاغذ پر ...... Us Ne Aansoo Baha Kay Kaghaz Par

جانے پھر اس نے کیوں جلا ڈالیں ...... Janay Phir Us E Kyun Jala Daleen
میری آنکھیں بنا کے کاغذ پر ...... Meri Aankhain Bana Kay Kaghaz Par

پہلے تو حرف سب کئے تنہا ...... Pehlay To Harf Sab Kiye Tanha
لکھ دئیے پھر ملا کے کاغذ پر ...... Likh Diye Phir Mila Kay Kaghaz Par

ہائے طوفان۔ باد اور باراں ...... Haaye Toofan-e-Baad Aur Baraan
اُف وہ جھونکے ہوا کےکاغذ پر ...... Uff Wo Jhonkay Hawa Kay Kaghaz Par

بھول جاؤں نہ اس کا قصہ میں ...... Bhool Jaoon Na Uska Qissa Main
اُس نے لکھا، بتا کے ،کاغذ پر ...... Us Ne Likha Bata Kay Kaghaz Par

داغ مٹتے نہیں ہیں ان کے کبھی ...... Daagh Mit'tay Nahin Hain Inkay Kabhi
حرف رکھنا جما کے کاغذ پر ...... Harf Rakhna Jama Kay Kaghaz Par

ایک شاعر غریب بھی لایا ...... Ek Shayer Ghareeb Bhi Laya
اپنے ارماں سجا کے کاغذ پر ...... Apne Armaan Saja Kay Kaghaz Par

نام اس نے صبا کا لکھا پھر ...... Naam Us  Ne Saba Ka Likha Hai
سب سے چھُپ کے چھُپا کے کاغذ پر ...... Sab Se Chupkay, Chupakay Kay Kaghaz Par


ครเŦ אคเ 
 
ہر ایرے غیرے سے ملتا تھوڑی ہے ...... Har Airay Ghairay Se Milta Thori Hai
میرا دلبر ایسا ویسا تھوڑی ہے ...... Mera Dilbar Aisa Waisa Thori Hai

اک بار اُسے گھیرے میں آلینے دو ...... Ek Baar Usay Gheray Main Aa Lene Do
وہ میری بانہوں سے تگڑا تھوڑی ہے ...... Wo Meri Banhon Se Tagra Thori Hai

ہو سکتا ہے وہ اب بھی اندر ہی ہو ...... Ho Sakta Hai Wo Ab Bhi Andar Hi Ho
میں نے اُس کو جاتے دیکھا تھوڑی ہے ...... Maine Usko Jatay Dekha Thori Hai

جھُوٹ، دغا ومکر، ریا، دھوکے بازی ...... Jhoot, Dagha o Makr, Raya, Dhokay Baazi
ان باتوں سے ہوتا اچھا تھوڑی ہے ...... In Baaton Se Hota Acha Thori Hai

ایسا ہم تجدید کی خاطر کرتے ہیں ...... Aisa Hum Tajdeed Ki Khatir Kartay Hain
ہم دونوں میں جھگڑا وگڑا تھوڑی ہے ...... Hum Dono Mein Jhagra Wagra Thori Hai

پتھر، بجری، ریتی، سیمنٹ اور سریا ...... Pathar, Bajri, Reti, Cement Aur Sarya
ان چیزوں سے گھر کیا بنتا تھوڑی ہے ...... In Cheezon Se Ghar Kya Banta Thori Hai

وہ مُجھ کو بے شک اپنا کہہ سکتا ہے ...... Wo Mujhko Be-Shak Apna Keh Sakta Hai
میں نے ایسا اب تک مانا تھوڑی ہے ...... Maine Aisa Ab Tak Maana Thori Hai

وہ اپنی چابی کھو بیٹھا تھا، میں نے ...... Woh Apni Chaabi Kho Baitha Tha, Maine
خُود سے اُس کا تالا توڑا تھوڑی ہے ...... Khud Se Uska Taala Tora Thori Hai

لگتا ہے کہ اب یہ کاٹے گا مُجھ کو ...... Lagta Hai Kay Ab Yeh Kaatay Ga Mujhko
مُجھ کو دیکھ کے کُتا بھونکا تھوڑی ہے ...... Mujhko Dekh Kay Kutta Bhonka Thori Hai

یہ میرا اُس کا جنموں کا قصہ ہے ...... Yeh Mera Uska Janmon Ka Qissa Hai
اُس کا مُجھ سے پیار یہ پہلا تھوڑی ہے ...... Uska Mujhse Pyaar Yeh Pehla Thori Hai

دیکھ صبا تُو لمحوں میں پرباد نہ کر ...... Dekh Saba Tu Lamhon Main Barbaad Na Kar
یہ رشتہ لمحوں میں بنتا تھوڑی ہے ...... Yeh Rishta Lamhon Banta Thori Hai


ครเŦ אคเ 
 
Kuch Waaday Qasmein Yaadein Thein,
Kuch Kehkahay Thay Faryadein Thein,
Kuch Aansu Thay Jo Bahaye Thay,
Kuch Dhokay Thay Jo Khaye Thay,
Kuch Lehjon Ki Parchaiyaan Thein,
Kuch Dil Ko Rog Lagaye Thay,
Ab Paas Hamare Kuch Bhi Nahi,
Ab Aas K Maaaray Kuch Bhi Nahi,
Yaadon Ki Zanjeerein Hain,
Kuch Rang Uri Tasweerein Hain,
Kuch Lafz Miti Tehreerein Hain,
Ek Dil Jo Deed Ka Pyaasa Hai,
Jee Bas Yehi Mera Asasa Hai..!!


ครเŦ אคเ
 
Bohat Gumaan Tha Tujhe Mausam Shanaas Honay Ka..
Wohi Bahana Bana Hai Udaas Honay Ka..

Badan Ko Garh Liya Zakham K Gulabon Se..
Tu Shauq Poora Kar Khush Libaas Hone Ka..

Gulabon K Beech Wo Chehra Khila To Har Titli..
Tamasha Karne Lagi Bad-Hawaas Honay Ka..

Usay Bhi Shauq Tha Be-Wajah Dil Dukhanay Ka..
So Hum Ne Bhi Khel Rachaya Udaas Honay Ka..

Naye Safar Pe Rawana To Hum Bhi Ho Jatay Wasi..
Bas Intezaar Tha Mausam K Raas Honay Ka..!!!


ครเŦ אคเ
 
An-Kahi Baat Ka Izhaar Bhi Ho Sakta Hai..
Paani Jam Jaye To Deewaar Bhi Ho Sakta Hai..

Kya Zaroori Hai Musallay Pe Faqat Zahid Ho..
Ronay Wala Koi Mai-Khawaar Bhi Ho Sakta Hai..

Pichlay Saawan Mein Tu Aaya Tha Ghataa Ki Soorat..
Kya Wohi Maujaza Is Baar Bhi Ho Sakta Hai..

Doosra Pehlu Bhi Tum Zehn Mein Rakh Kar Jana..
Us Kay Dar Se Tumhein Inkaar Bhi Ho Sakta Hai..

Jis Ki Poshaak Pe Almaas Jaray Hon Mohsin..
Kaise Maanu Kay Wo Funkaar Bhi Ho Sakta Hai...!!!


ครเŦ אคเ

 
Mukammal 2 Hi Daano Par Ye Tasbeeh Mohabbat Hai..
Jo Aaye Teesra Daana Ye Dori Toot Jati Hai..

Mutaiyyan Waqt Hota Hai Mohabbat Ki Namazon Ka..
Adda Jinki Nikal Jaye Qaza Bhi Choot Jati Hai..

Mohabbat Ki Namazon Mein Amanat Ek Ko Sonpo..
Isay Dekhne Se, Usay Dekhne Se, Niyat Toot Jati Hai..

Mohabbat Dil Ka Sajda Hai Jo Hai Tauheed Par Qayam..
Nazr K Shirk Walon Se Mohabbat Rooth Jati Hai..!!!!!!


ครเŦ אคเ
 
Zindagi Mein 2 Minute Koi Mere Paas Na Baitha,
Aaj Sab Mere Paas Baithay Ja Rahe Thay,

Koi Tohfa Na Mila Aaj Tak Mujhe Aur,
Aaj Phool Hi Phool Diye Ja Rahe Thay,

Taras Gaya Mein Kisi Kay Hath Se Diye Ek Kapray Ko Aur,
Aaj Naye Naye Kapray Orhaye Ja Rahe Thay,

2 Qadam Saath Na Chalnay Walay,
Aaj Kaafla Bana K Chale Ja Rahe Thay,

Aaj Pata Chala K Maut Iitni Haseen Hoti Hai,
Hum To Yun Hi Jeeye Ja Rahe Thay...!!!


ครเŦ אคเ

 

Yeh Tasalli Hai, K Hain Na-Shaad Sab,
Main Akela Hi Nahi, Barbaad Sab,

Sab Ki Khaatir Hain Yahan Ajnabi,
Aur Kehne Ko Hain Ghar Abaad Sab,

Bhool K Sab Ranjishen Sab Ek Hain,
Main Bataon Sab Ko, Hoga Yaad Sab,

Sab Ko Dua-E-Wafa Sab Ko Yaqeen,
Us Adakaari Mein Hain Ustaad Sab,

Sheher Ke Haakim Ka Yeh Farmaan Hai,
Qaid Meh Kehlayenge Azaad Sab,

Chaar Lafzon Mein Kaho Jo Bhi Kaho,
Usko Kab Fursat, Sunein Faryad Sab,

Talkhiyan Kaise Na Hon Ashaar Mein,
Hum Pe Jo Guzri, Humein Hai Yaad Sab...!!!


ครเŦ אคเ
 
Gir Jayen Zameen Par To Sambhalay Nahi Jatay,
Bazaar Mein Dukh Dard Uchalay Nahi Jatay,

Ankhon Se Nikaltay Ho Magar Dehaan Mein Rakhna,
Tum Jaisay Kabhi Dil Se Nikalay Nahi Jatay,

Ab Mujhse In Ankhon Ki Hifazat Nahi Hoti,
Ab Mujhse Tere Khuwaab Sambhlay Nahi Jatay,

Jangal K Ye Poday Hain Inhe Chor Do 'Mohsin'
Gham Aap Jawaan Hotay Hain Paalay Nahi Jatay..


ครเŦ אคเ

 
Mujhe Rona Nahi
Awaaz Bhi Bhaari Nahi Karni
Mohabbat Ki Kahani Mein
Adakaari Nahi Karni

Hamara Dil Zara Ukta Gaya Tha
Ghar Mein Reh Kar
Yunhi Bazaar Aaye Hain
Kharidari Nahi Karni

Tahammul Ae Mohabbat
Hijr Pathrila Ilaqa Hai
Tujhe Is Raastay Par
Tez Raftaari Nahi Karni

Hawa K Khof Se Lipta Hua Hun
Khushk Tehni Se
Kahin Jana Nahi
Jane Ki Tayari Nahi Karni

Apni Ghazalon Ko
Kam Nigahon Ki Pohanch Se
Door Rakhta Hun
Mujhe Banjar Dimagon Mein
Shajar Kari Nahi Karni

Naseehat Ki Thi Mujh Ko 'Qais' Ne
Sehra K Baray Mein
Ye Mera Ghar Hai
Is Ki Chaar Deewari Nahi Karni


ครเŦ אคเ

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector