Din Niklay To Soch Alag
Shaam Dhalay Wajdaan Alag
Umeed Alag, Aas Alag
Sukoon Alag, Toofan Alag

Tashbeeh Dun To Kis Se?
K Tere Husn Ka Har Rang Juda

Neel Alag, Zamrood Alag
Yaqoot Alag, Marjaan Alag

Teri Ulfat K Taqazay Bhi
Ajab Andaaz K Thay

Iqraar Alag, Taqraar Alag
Taazeem Alag, Farmaan Alag

Gar Saath Nahi Ab De Sakte
To Baant Do Yak-Jaan Lamhe

Masroor Alag, Nidhaal Alag
Pur-Kaif Alag, Pareshaan Alag

Waqt-e-Rukhsat Alvida Ka
Lafz Jab Kehne Lagay

Aansu Alag, Muskaan Alag
Betaabi Alag, Haijaan Alag

Jab Chor Gaya Tab Dekha
Apni Aankhon Ka Rung

Hairaan Alag, Pashemaan Alag
Sunsaan Alag, Veeraan Alag !!!

ครเŦ אคเ 

 
Chiraag-e-Shab Ko Jaise Aandhiyan Achi Nahi Lagti'n
Kuch Aise Hi Hamein Khush Fehmiyan Achi Nahi Lagti'n

Jinhen Sonay K Pinjray Mein Ghiza Mil Jaye Chandi Ki
Unhein Phir Umar Bhar Azaadiyan Achi Nahi Lagti'n

Wo Jin K Dil Mein Fasl-e-Gham Ne Dairay Daal Rakhe Hon
Unhein Phoolon Pe Baithi Hui Titliyan Achi Nahi Lagti'n

Mera Dil Chahata Hai Unhein Aaina Dikhaon.. Mohsin
Wo Jinko Doosron Ki Khoobiyan Achi Nahi Lagti'n !!!

אคเ

 
Moazziz Ban K Mehfil Mein Adakari Nahi Karta..
Mein Chehre Pe Kabhi Jhooti Anaa Taari Nahi Karta...

Yahan Behtar Hai Apni Zaat Ka Humdard Ho Jana...
Zamana Gham To De Sakta Hai, Ghamkhaari Nahi Karta...

Mujhe Mauqa Shanasi Ka Hunar Aaya Nahi Ab Tak...
Jahan Matlab Nikalta Ho, Samajhdari Nahi Karta...

Mera Dushmann Mere Dastoor Se Waqif Nahi...
Jisay Mein 'Dost' Keh Dun Us Se 'Ghaddari' Nahi Karta...!!!
אคเ

 
Ye Charas Shauq Hai.. Meri Aadat Nahi
Ye Jazbaat Jagati Hai.. Tabhi Peeta Hun

Aadhi Raat K Waqt Mein Pagal To Nahi
Teri Yaad Satati Hai.. Tabhi Peeta Hun

Is Charas Mein Fazeelat To Koi Nahi
Ye Fiqar Mitati Hai.. Tabhi Peeta Hun

Mein Jaanta Hun Mujhe Kuch Nahi Milna Is Se
Ye Umar Ghatati Hai.. Tabhi Peeta Hun

אคเ 
 
MOHABBAT TUMSE KARTA H0ON..
Bazahir Aam Sa Jumla, Faqat Kuch Khayal Harfon Ka.
Magr Ye Pur Asar Itna, K Gehri Jheel K Jitna.
K Tann Mann Doob Jata Hai, Khushi Mein Jhoom Jata Hai.
Main Khud Hi Muskurata Hun, Tumhare Geet Gaata Hun.
Tumhi Ko Sochta Hun Main, Tumhen Dil Mein Basata Hun.

M0HABBAT TUM SE KARTA HOON..
Bazahir Aam Sa Jumla, Agar Keh Dogay Phir Se To..
Ye Tajdeed-e-Wafa Hogi.. Khushi Ki Inteha Hogi..!!!


אคเ

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector