Bekhudi Be-Sabab Nahi Ghalib>>>>>>> بے خودی بے سبب نہیں غالب 
Kuch To Hai Jiski Pardadari Hai>>>>> کچھ تو ہے جس کی پردہ داری ہے 

Dil-o-Mizshgan Ka Jo Muqadma Tha>>> دل و مزغاں کا جو مقدمہ تھا
Aaj Phir Uski Rubqari Hai>>>>>>>>>> آج پھر اس کی روبکاری ہے 

Phir Usi Bewafa Pe Marte Hain>>>>>>> پھر اسی بے وفا پے مرتے ہیں 
Phir Wohi Zindagi Hamari Hai>>>>>>> پھر وہی زندگی ہماری ہے 

Bekhudi Be-Sabab Nahi Ghalib>>>>>>> بے خودی بے سبب نہیں غالب 
Kuch To Hai Jiski Pardadari Hai>>>>>  کچھ تو ہے جس کی پردہ داری ہے 

Phir Diya Para-e-Jigar Ne Sawal>>>>>> پھر دیا پارہ جگر نے سوال
Ek Fariyad-o-ah-wa-Zari Hai>>>>>>>>   ایک فریاد و آہ و زاری ہے 

Be-Khudi Be-Sabab Nahi Ghalib>>>>>> بے خودی بے سبب نہیں غالب 
Phir Huay Hain Gawah-e-ishq Talab>> پھر ہوے ہیں گواہ عشق طلب 

Ashq Bari Ka Hukm Jari Hai>>>>>>>> اشک باری کا حکم جاری ہے 
Bekhudi Be-Sabab Nahi Ghalib>>>>>> بے خودی بے سبب نہیں غالب 

Phir Kuch Is Dil Ko Be-Qarari Hai>>>> پھر کچھ اک دل کو بے قراری ہے 
Sina Joya-e-Zakhm-e-Kari Hai>>>>> سینا جویا زخم کاری ہے 

Be-Khudi Be-Sabab Nahi Ghalib>>>>> بے خودی بے سبب نہیں غالب 
Kuch To Hai Jiski Pardadari Hai>>>>> کچھ تو ہے جس کی پردہ داری ہے

ครเŦ אคเ 
 
Mohabbat Kya Hai?
Mohabbat Aisa Sapna Hai.. Jisay Jitna Koi Dekhe.. Naya Mehsoos Hota Hai
Mohabbat Aisa Manzar Hai.. Jisay Tasweer Karne Mein.. Zamanay Beet Jatay Hain
Mohabbat Aisa Waada Hai.. Kisi K Saath Ho Jaye.. To Phir Tora Nahi Jata
Mohabbat Wo Taalluq Hai.. K Jis K Sath Ho Jaye.. Usay Chora Nahi Jata
Mohabbat Ek Paheli Hai.. K Jis Ko Raas Aa Jaye.. To Phir Uski Saheli Hai
Mohabbat Wo Kahani Hai.. K Jitna Bhi Koi Bhulaye.. Hamesha Yaad Rehti Hai

ครเŦ אคเ
 
Zindagi Yun Hui Basar Tanhaa 
Qaafila Saath Aur Safar Tanhaa

Apne Saaye Se Chaunk Jate Hain 
Umr Guzari Hai Is Qadar Tanhaaa

Raat Bhar Bolte Hain San'natay 
Raat Kaate Koi Kidhar Tanhaa

Din Guzarta Nahi Hai Logon Mein 
Raat Hoti Nahi Basar Tanhaa

Hum Ne Darwaze Tak To Dekha Tha 
Phir Na Jaane Gaye Kidhar Tanhaa

ครเŦ אคเ
 
ہر کوئی دل کی ھتھیلی پہ ہے صحرا رکھے
کس کو سیراب کرے کسے پیاسا رکھے

عمر بھر کون نبھاتا ہے تعلق اتنا
اے میری جان کے دشمن تجے اللہ رکھے

ہم کو اچھا نہیں لگتا کوئی ھم نام ترا
کوئی تجھ سا ہو تو نام بھی تجھ سا رکھے

دل بھی پاگل ہے کہ اس شخص سے وابستہ ہے
کسی اور کا ہونے دے نہ اپنا رکھے

ہنس نہ اتنا بھی فقیروں کے اکیلے پن پر
جا، خدا میری طرح تجھ کو بھی تنہا رکھے

یہ قناعت ہے اطاعت ہے کہ چاہت ہے فراز
ہم تو راضی ہیں وہ جس حال میں جسیا رکھے


ครเŦ אคเ

 
Ghalib
 
Mirza Asadullah Khan Ghalib
 
Koi Ye Kaise Bataye K, Wo Tanha Kyun Hai?
Wo Jo Apna Tha Wohi, Aur Kisi Ka Kyun Hai?
Yehi Duniya Hai To Phir, Aisi Ye Duniya Kyun Hai?
Yehi Hota Hai To Aakhir, Yehi Hota Kyun Hai?

Ek Zara Haath Badhaa Den To, Pakar Len Daman
Uske Seene Mein Samaa Jaye, Humari Dhadkan
Itni Qurbat Hai To Phir Faasla Itna Kyun Hai?

Dil-e-Barbaad Se Nikla Nahi Ab Tak Koi
Ek Loote Ghar Pe Dia Karta Hai Dastak Koi
Aas Jo Toot Gayi Phir Se Bandhata Kyun Hai?

Tum Musarrat Ka Kaho Ya Isay Gham Ka Rishta
Kehte Hain Pyaar Ka Rishta Hai Janam Ka Rishta
Hai Janam Ka Jo Ye Rishta To Badalta Kyun Hai?

ครเŦ אคเ
 
Abhi To Hum Aapke Liye Kuch Nahi,
Ye Din Guzar Jayenge,
Ye Mausam Badl Jayenge,
Waqt To Guzar Hi Jata Hai,
Aapka Bhi Hamara Bhi Lekin..
Ek Din Kisi Lamhay,
Aapko Hamari Yaad Aayegi,
To Aap Be-Ikhteyaar Muskura Dogay,

Log Pochenge Kya Hua???
Aur Aap Kaho Gay..
KUCH NAHI

ครเŦ אคเ

Rog

3/3/2012

0 Comments

 
Sath Chalne Walay Jab,
 Sath Chor Jatay Hain,
Waqt Tham Nahi Jata,
Koi Mar Nahi Jata,
Koi Mar Bhi Jaye To,
Zindagi Nahi Rukti,
Raaston Ko Chalna Hai,
Raastay To Chaltay Hain,
Yaar Dost Miltay Hain,
Zakhm Aise Siltay Hain,
Bas..
Umar Kat Hi Jati Hai,
Kuch Musafiron Ko Bas,
Manzilein Nahi Milti,
Na Jane Kyun???
Bichar Jatay Hain,

Wo Log..
Jinki Yaadein Ban Jati Hain,
Umar Bhar Ka Rog..

ครเŦ אคเ
 

دل کو سنبھال، کیا ہے؟....Dil Ko Sanbhaal, Kya Hai?
!زُلفوں کا جال کیا ہے.......Zulfon Ka Jaal Kya Hai!

نظروں کا ہے یہ دھوکہ......Nazron Ka Hai Yeh Dhoka
حُسن و جمال کیا ہے.......Husn-o-Jamaal Kya Hai?

قسمت میں جو نہیں تھا...Qismat Main Jo Nahi Tha
اُس کا ملال کیا ہے.....Uska Malaal Kya Hai?

ہے ابتدا تو اچھی...........Hai ibteda To Achi
جانے مآل کیا ہے............Janay Ma'aal Kya Hai?

دل سے تُمہیں نکالا........Dil Se Tumhain Nikala
پھر یہ وبال کیا ہے..........Phir Yeh Wabaal Kya Hai?

آجاؤ میرے گھر میں........Aa Jao Mere Ghar Main
بولو، خیال کیا ہے............Bolo, Khayal Kya Hai?

دونوں ہی عارضی ہیں.....Dono Hi Aarzi Hain
ہجرو وصال کیا ہے..........Hijr-o-Wisaal Kya Hai?

ہاں تُم پہ جاں دوں گا.......Haan, Tum Pe Jaan Doonga
اگلا سوال کیا ہے..........Agla Sawaal Kya Hai?

ہے گردشِ زمانہ...........Hai Gardish-e-Zamana
یہ ماہ و وصال کیا ہے..... Yeh Mah-o-Saal Kya Hai?

تُم سے اُلجھ پڑوُں میں..Tum Se Ulajh Paroon Main
میری مجال کیا ہے.......Meri Majaal Kya Hai?

مر تو نہیں گیا ہوُں.........Mar To Nahi Gaya Hoon
پُوچھو تو حال کیا ہے.....Poocho To Haal Kya Hai?

نظریں جو اُس نے پھیریں.Nazrain Jo Us Ne Phaireen
آنکھوں میں بال کیا ہے...Aankhon Main Baal Kya Hai?

مُجھ سے بھی ہوں گے اچھے..Mujhse Bhi Honge Achay
میری مثال کیا ہے........Meri Misaal Kya Hai?

جو شاعری ہے میری....Jo Shairi Hai Meri
اُس میں کمال کیا ہے.....Is Main Kamaal Kya Hai?

سوچو ذرا صبا جی .......Socho Zara SABA Jee
اب  اگلی چال کیا ہے....Ab Agli Chaal Kya Hai???


  ครเŦ אคเ

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector