Dil K Kuch Armaano K Beech
Kuch Sapno Ko Sota Paaya Maine
Kuch Manzil Mujhe Aisi Mili Ke
Aaj Phir Khud Ko Akela Paaya Maine

Kuch Waado Aur Kasamo Ke Beech
Kayi Naato Ko Toota Hua Paaya Maine
Kuch Jhoote Waado Ka Sila Hai Yeh Ke
Aaj Phir Khud Ko Akela Paaya Maine

Zindagi K Shor-o-Gul K Beech
Kuch Viraano Ko Paaya Maine
Khamosh Pal Aur Anjaane Shakhs Hi Mile K
Aaj Phir Khudko Akela Paaya Maine

Duniya Main Apno Ke Beech
Khud Ko Paraya Paaya Maine
Dost Zindagi Main Kuch Aise Mile K
Aaj Phir Khud Ko Akela Paaya Maine

ครเŦ אคเ
 
Ye Tasalli Hai Kay Hain Na-Shaad Sab
Mein Akela Hi Nahi Barbaad Sab

Sabki Khatir Hain Yahan Ajnabi
Aur Kehne Ko Hai Ghar Abaad Sab

Bhool Kay Sab Ranjishen Sab Ek Hain
Mein Bataon Sabko Hoga Yaad Sab

Sabko Dua-e-Wafa Sabko Yaqeen
Us Adakari Mein Hain Ustaab Sab

Shehr K Haakim Ka Ye Farmaan Hai
Qaid Mein Kehlayenge Azaad Sab

4 Lafzon Mein Kaho Jo Bhi Kaho
Usko Kab Fursat Sunnay Faryaad Sab

Talkhiyan Kaise Na Hon Ashaar Mein
Hum Pe Jo Guzri Hamein Hai Yaad Sab..!!

ครเŦ אคเ

 
Kab Dard K Maaron Ko Sukoon Hota Hai
Jab Ishq Nahi Hota Junoon Nahi Hota Hai

Be-Kas Faqeeron Se Nahi Pochta Koi
Kis Tarha Tamannaon Ka Khoon Hota Hai

Ye Ishq Jo Apna Hamein Honay Nahi Deta
Ye Ishq Bhi Hota Hai To Kyun Hota Hai

Har Shaam Chiraagon Ki Tarha Jalti Hain Ankhain
Mohsin Kya Koi Chala Jaye To Yun Hota Hai...!!!

ครเŦ אคเ
 
Is Shehr Mein Shab-e-Khoon K Aasaar Bohat Hain
Hum Jaag Rahe Hain Is Liye K Gunah-Gaar Bohat Hain

Dushman Mein Meri Pusht Pe Kyun Waar Kiya???
Ye Rasm Nibhane Ko To Mere Yaar Bohat Hain

Har Mor Pe Mil Jatay Hain Humdard Hazaaron
Shayad Mere Shehr Mein Adakaar Bohat Hain

ครเŦ אคเ
 
Maut !
Lehd Mein Bhi Yehi Ghaib-o-Huzoor Rehta Hai
Agar Ho Zinda To Dil Na-Saboor Rehta Hai
Mai-wa-Sitara Misaal Sharara Yak Do Nafas
Mai Khudi Ka Ab'ad Tak Suroor Rehta Hai
Farishta Maut Ka Choota Go Badan Tera
Tere Wajood K Markaz Se Door Rehta Hai


(Allama Iqbal)
 
Maut Ko Samjhay Hain Ghafil Ikhtetaam-e-Zindagi,
Hai Ye Shaam-e-Zindagi, Subha Dawaam-e-Zindagi..!! 
 
Lutf Marne Mein Hai Baaqi Na Maza Jeenay Mein..
Kuch Maza Hai To Yehi Khoon-e-Jigar Peenay Mein..!!
 
Kabhi Humse Kabhi Ghairon Se Shanasaayi Hai..
Baat Kehne Ki To Nahi, Tu Bhi To Harjai Hai...!!!
 
Hum To Jeetay Hain Kay Duniya Mein Tera Naam Rahe..
Kahin Mumkin Hai Kay Saaqi Na Rahe, Jaam Rahe..!!!
 
یہ قوم بٹٰی ہے دھڑے دھڑے…….… Yeh Qom Bati Hai Dharay Dharay
جو آپس میں ہیں لڑے لڑے…….……Jo Aapas Main Hain Laray Laray 

بند اشکوں پر کب تک باندھیں……..Band Ashkon Par Kab Tak Baandhain
یہ دریا اب تو چڑھے چڑھے………...Yeh Dariya Ab To Charhay Charhay

کم سِن ہو ابھی کیا دل دینا……....Kamsin Ho Abhi Kya Dil Dena
ہو جاؤ ذرا تُم بڑے بڑے…………..…..Ho Jao Zara Tum Baray Baray

جو بیت چُکا، سو بیت چُکا………....Jo Beet Chuka, So Beet Chuka
مُردے نہ اُکھیڑو گڑے گڑے………..…Murday Na Ukhairo Garay Garay

چہرہ اُس کا کُندن آسا…………..….Chehra Uska Kundan Aasa
اور ہیرے اس میں جڑے جڑے……....Aur Heeray Us Main Jaray Jaray

جب مُسکائے، بجلی کوندے…….….Jab Muskaye Bijli Kondhay
اور موتی جیسے جھڑے جھڑے…….Aur Moti Jaisay Jharay Jharay

اک سیب تھا گندا سیبوں میں……..Ek Saib Tha Ganda Saibon Main
اب سیب سبھی ہیں سڑے سڑے…Ab Saib Sabhi Hain Saray Saray

دولت کے ہی سب ساتھی تھے…...Daulat Kay Hi Sab Saathi Thay
اب لگتے ہیں سب اڑے اڑے………....Ab Lagate Hain Sab Array Array

تُم بن جانم تُم کیا جانو………..…….Tum Bin Janam Tum Kya Jano
لمحے گُزرےسب کڑے کڑے……..…..Lamhay Guzray Sab Karay Karay

دل جیسی شے بیچی بن مول……..Dil Jaisi Shaey Bechi Bin Mole
اور کیا بھی سودا کھڑے کھڑے……..Aur Kiya Bhi Sauda Kharay Kharay

ہو جائے گا اک دن صبا ولی…………Ho Jayega Ek Din SABA Wali
تیرے در پر یوں پڑے پڑے……………..Tere Dar Par Yun Paray Paray

ครเŦ אคเ

    Author

    ครเŦ אคเ

    Ghazals Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    December
    Dr. Allama Iqbal
    Eid Shayri
    Ghazals
    Gulzar
    Mirza Ghalib
    Mohabbat
    Punjabi Ghazals
    Urdu Ghazals

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector