Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon
Tumne Bhi Shaayad Yehi Soch Liya Haan..
Log Kehte Hain Mein Sharaabi Hoon

Kisi Pe Husn Ka Guroor Jawaani Ka Nasha
Kisi Kay Dil Pe Mohabbat Ki Ravaani Ka Nasha

Kisi Ko Dekh Kay Saanson Se Ubharta Hai Nasha
Bina Piye Bhi Kahin Had Se Guzarta Hai Nasha

Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara
Kise Hai Hosh Mere Saamne To Laao Zara

Nasha Hai Sab Pe Magar Rang Nashe Ka Hai Juda

Khili Khili Hui Subah Pe Hai Shabnam Ka Nasha
Hawa Pe Khushboo Ka Badal Pe Hai Rimjhim Ka Nasha
Kahin Suroor Hai Khushiyon Ka Kahin Gham Ka Nasha

Nasha Sharaab Mein Hota To Nachti Botal
Maikade Jhoomte Paimaanon Mein Hoti Hulchul

Nasha Sharaab Mein Hota To Naachti Botal
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara

Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon...
SHAKAABI
1/9/2014 12:11:48 am

Reply



Leave a Reply.

    Author

    ครเŦ אคเ

    Sharabi Ghazals
    Archives

    April 2012
    March 2012

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector