Bohat Sataya Hai Kisi Ki Be-Bas Yaadon Ne
Ae Zindagi Ab To Khatam Ho Ja K Aur Tarpa Nahi Jata
 
Bas Ab Kuch Dair Mein Mohsin Wo Pathar Toot Jayega
Main Uski Sard Mohri Pe Mohabbat Maar Aaya Hun

 
Mohsin Khushi Ki Bheek Mein Kis Kis Se Maangta
Acha Hua Kay Gham Se Tabiyat Behl Gayi

 
Tujhse Waabastagi Ka Ye Aalam Hai Faraz
Hum Wo Saans Nahi Lete Jis Mein Teri Yaad Na Ho
 
 
Ramoz-e-Ishq-o-Mohabbat Se Mein Nahi Waqif
Rahi Hai Uski Zaroorat Mujhe Saans Ki Tarha
 
Yaad Aatay Hain Aaj Ufff.. Gunah Kya Kya
Ek Ye K Mohabbat Kar Li Ek Ye K Tujhse Kar Li
 
Roz-o-Shab K Melay Mein
Ghaflaton K Maaray Log
Shayad Yehi Samajhte Hain
Hum Ne Jis Ko Dafnaya Tha
Bas Usi Ko Marna Tha..
 
Peetay Thay Jis K Saath Wo Saaqi Bara Haseen Tha
Aadi Bana Kay Zalim Ne Mai-Khana Badl Liya..
 
Muhabbat Mein Wo Muqaam Bhi Baray Hoslay Ka Tha
Mein Khud Pe Hans Raha Tha Zamana Kay Saath Saath

    Author

    ครเŦ אคเ

    4 & 2 Line (Couplets) Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    2 Line Couplets
    4 Lines Poetry
    Urdu Poetry On Wallpaper

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector