Teri Ibteda Bhi Aansu Teri Inteha Bhi Aahain
Tu Hi Bata Mohabbat Tujhe Kis Bina Pe Chahain
 
Jin K Dil Par Lagti Hai Wo Aankhon Se Nahi Rotay
Jo Apno K Nahi Huay Wo Kisi K Nahi Hotay
Waqt Ne Mujhe Aksar Ye Sikhaya Hai
Sapnay Toot Jatay Hain Par Poray Nahi Hotay
 
Wo Ajnabi Hai Janay Kab Chor De
Hawa Ka Kya Janay Kab Rukh Mor De
Hum To Doosron Ka Dil Khush Rakhte Hain
Magar Doosron Ka Kya Janay Kab Dil Tor De
 
Kis Se Karein Apni Be-Chain Mizaji Ka Gila
Har Koi Yahan Bhatka Hua Dard Liye Phirta Hai
 
Socho To Silwaton Se Bhari Hai Tamaam Roh
Dekho To Ek Bhi Shikan Nahi Hai Libaas Mein
 
Zindagi Jeene Ko Ek Khuwaab Milta Hai
Yahan Har Sawaal Ka Jhoota Jawab Milta Hai
Kise Samjhen Dost Kise Samjhen Dushman
Yahan To Har Ek Chehre Pe Naqaab Milta Hai
 
Kuch Us Ne Bhi Palat Kar Aanay Ka Socha Nahi Nasir
Kuch Muqaddar Mein Khuwaab Bhi Thay Likhe Be-Tarteeb
 
Muddat Se Koi Aaya Na Gaya Sunsaan Pari Hai Ghar Ki Fiza
In Khaali Kamron Mein 'Nasir' Ab Shamma Jalayen Kis K Liye
 
Mujhko Khayal Hai K Tu Mera Khayal Hai
Ae Markaz-e-Khayal Tera Kya Khayal Hai
Aata Hai Tu Khayal Mein Kitne Khayal Se
Tujhko Mere Khayal Ka Kitna Khayal Hai 
 
Main Qabil-e-Nafrat Hun To Chor De Mujhko
Tu Mujhse Yun Dikhaway Ki Dosti Na Kiya Kar

    Author

    ครเŦ אคเ

    4 & 2 Line (Couplets) Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    2 Line Couplets
    4 Lines Poetry
    Urdu Poetry On Wallpaper

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector