Nashe Mein Dooba Hoon Main Mujhe Hai Pyar Ka Nasha
Teri Umeed Ka Nasha Hai Tere Intezaar Ka Nasha

Koi Saaki Nahin Paas Hai Door Har Mehkashi Bhi
Phir Bhi Behak Raha Hoon Main Hai Wasl-e-Yaar Ka Nasha

Mausam Ye Badalte Rahe Magar Dil-e-Suroor Na Utra
Kabhi Raha Khizan Ka Nasha To Kabhi Bahaar Ka Nasha

Mere Azeez Ye Khel Raha Hum Dono Ko Munasib
Tujhe Hai Jeet Ka Nasha To Mujhe Haar Ka Nasha

Meri Duniya Hai Gham Bhari Aur Tujhe Jannat Hai Haasil
Khuda Ki Reham Ka Tujhe To Mujhe Uski Maar Ka Nasha

Har Aadmi Juda Hai.. Hai Juda Har Shauk Bhi Ae Dost
Hum Kehte Rahe Jisse Pyaar To Samjha Bekaar Ka Nasha

Fakat Kuch Hi Dino Ka Raha Tu Mehmaan-e-Ghayal
Tere Sang Hi Chala Jayega Is Dil-e-Bimaar Ka Nasha




Leave a Reply.

    Author

    ครเŦ אคเ

    Sharabi Ghazals
    Archives

    April 2012
    March 2012

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector