Kaash Hamein Bhi Koi Samjhaane Wala Hota,
To Aaj Hum Na-Samajh Na Hote…
Kaash Koi Pyaar Ki Pyali Pilane Wala Hota,
To Aaj Hum Sharaabi Na Hote…
Kaash Koi Hum Par Jaan Fida Karne Wala Hota,
To Aaj Hum Qaatil Na Hote…
Kaash Koi Hamare Saath Ghar Basane Wala Hota,
To Aaj Hum Be-Ghar Na Hote…
Shayad Acha Hi Hua K Koi Bhi Nahi Hai,
Nahi To Aaj Hum Shayar Na Hote…!!

 
Nashe Mein Dooba Hoon Main Mujhe Hai Pyar Ka Nasha
Teri Umeed Ka Nasha Hai Tere Intezaar Ka Nasha

Koi Saaki Nahin Paas Hai Door Har Mehkashi Bhi
Phir Bhi Behak Raha Hoon Main Hai Wasl-e-Yaar Ka Nasha

Mausam Ye Badalte Rahe Magar Dil-e-Suroor Na Utra
Kabhi Raha Khizan Ka Nasha To Kabhi Bahaar Ka Nasha

Mere Azeez Ye Khel Raha Hum Dono Ko Munasib
Tujhe Hai Jeet Ka Nasha To Mujhe Haar Ka Nasha

Meri Duniya Hai Gham Bhari Aur Tujhe Jannat Hai Haasil
Khuda Ki Reham Ka Tujhe To Mujhe Uski Maar Ka Nasha

Har Aadmi Juda Hai.. Hai Juda Har Shauk Bhi Ae Dost
Hum Kehte Rahe Jisse Pyaar To Samjha Bekaar Ka Nasha

Fakat Kuch Hi Dino Ka Raha Tu Mehmaan-e-Ghayal
Tere Sang Hi Chala Jayega Is Dil-e-Bimaar Ka Nasha

 
Har Nasha Utar Jata Hai Us Nazar K Baad Mein
Phir Nasha Chad Jata Hai Us Nazar K Deedar Mein

Har Nasha Apne Aap Me Kuch Asar Rakta Zarur
Thodi Aur Chadti Hai Ek Paimane Ke Baad Mein

Ek Nasha Unki Nazar Ka Kuch Sharabi Hum Bhi Hain
Nasha Kuch Barh Jata Hai Unke Har Sawal Se

 Ye Nasha Hai Pyar Ka Aur Unke Singhaar Ka
Jo Na Chad Payega Unke Ek Inkaar Se

Main Sarabi Hun Magar Kuch Reham Hum Pe Karo
Ya To Peene Do Hame Ya Hamein Tanha Karo

Yaad Hai Bhul Jayenge Hosh Mein Ya Behosi Mein
Chaya Rahega Nasha Unka Har Raat Ki Madhosi Mein

 
Kuch Is Tarha Guzarti Ab, Hamari Har Shaam Hai,
Ek Haath Tasveer Unki To, Ek Haath Jaam Hai!

Bekaar Hai Yaad Dilana, K Shaye Ye Haraam Hai,
Sab Kuch Bhool Jaate Hain, Jab Koi Leta Unka Naam Hai!

Hum To Yehi Kahenge, Mai Be-Wajah Badnaam Hai,
Dard-e-Dil Se Humko To, Pohanchati Ye Aaraam Hai!

Tabaah Karti Hai Sharaab, Ghalat Is Par Ilzaam Hai,
Madadgaar Ka Badnaam Hona To, Qudrat Ka Nizaam Hai!

Hum Ghamkhaaron Ka Mai Ko, Tah-e-Dil Se Salaam Hai,
Bina Iske To Khuda Jaane, Kya Hamara Anjaam Hai!


 
Duriyaan Aasani Se Mitati Hai SHARAAB
Majburiyon Ko Nashe Me Nachati Hai SHARAAB

Aansuon Ko Mila De Tu Apne Har Ek Jaam Mein
Phir Dekh Kaise Yaadon Ko Aur Kareeb Lati Hai SHARAAB

Thak Chuke Hain Jo Is Duniya Ke Sitamo Se
Unhe Do Pal Ki Rahat Dilati Hai SHARAAB

Pankh Laga Ke Aasmaan Mein Ud Jaate Hai Jo Panchi
Do Ghoot Mein Unhe Baahon Me La Sakti Hai SHARAAB

Jis Ka Hath Sari Duniya Chod Deti Hai
Unke Hatho Mein Aksar Paayi Jati Hai SHARAAB

Kabhi Bhi Apne Ghamon Ko Bhulna Ho To Keh Dena
Kitne Bhi Bade Gum Mein Kisiko Bhi Hasati Hai SHARAAB


 
Us Mujassama-e-Be-Niyaaz Se Arzoo-e-Ikraam Kya
Kuch Nahi Choota Usay Bandagi Kya Salaam Kya

Khud Hi Dete Ho Zakham Khud Hi Karte Ho Dawa
Dard-Daan Jab Ho Maseeha Aayega Aaraam Kya

Rind Tauba Kar Gaye Veeran Maikhaana Hua
Jab Nahi Maujood Saaqi Mai Hai Kya Aur Jaam Kya???
 
Chashm-e-Saaqi Ki Ek Boond Ko Tarsa Hai Dil
Aaj Jee Bhar Ke Mere Yaar Mujhko Peene De

Apni Tanhaiyon Se Tang Raha Hoon Mein Ab Tak
Apne Pehloo Mein Ab To Yaar Mujhko Jeene De

Bada Bedard Tha Dard Sooni Sooni Raaton Ka
Seene Chaak Zakhmon Ko Tu Aaj To Seene De

Bhool Aaya Hoon Aaj Raah Main Maikhane Ki
Apni Nazron Ke Hi Do Jaam Mujhko Peene De

Apni Tanhaiyon Se Tang Raha Hoon Ab Tak
Apne Pehloo Mein Mere Yaar Mujhko Jeene De..!!
 
Jhoom K Jab Rindon Ne Pilaa Di
Sheikh Ne Chupkay Chupkay Dua Di

Ek Kami Thi Taj Mehal Mein
Hum Ne Teri Tasweer Laga Di

Aap Ne Jhoota Wada Ker K
Aj Hamari Umer Bhara Di

Teri Gali Mein Sajday Ker K
Hum Ne Ebadat Gaah Bana Di

Eik Kami Thi Taj Mehal Mein
Hum Ne Teri Tasweer Laga Di
 
Mere Qareeb Na Aao K Mein Sharabi Hoon
Mera Shaoor Jagao K Mein Sharabi Hoon

Zamanay Bhar Ki Nigahon Se Gir Chuka Hoon Mein
Nazer Se Tum Na Girao K Mein Sharabi Hoon

Ye Arz Karta Hoon Gir K Khaloos Walon Se
Utha Sako To Uthao K Mein Sharabi Hoon

Mere Qareeb Na Aao K Mein Sharabi Hoon
Tumhari Ankh Se Bhar Loon Saroor Ankhon Mein

Nazar Nazar Se Milao K Mein Sharabi Hoon
Mere Qareeb Na Ao K Mein Sharabi Hoon
 
Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon
Tumne Bhi Shaayad Yehi Soch Liya Haan..
Log Kehte Hain Mein Sharaabi Hoon

Kisi Pe Husn Ka Guroor Jawaani Ka Nasha
Kisi Kay Dil Pe Mohabbat Ki Ravaani Ka Nasha

Kisi Ko Dekh Kay Saanson Se Ubharta Hai Nasha
Bina Piye Bhi Kahin Had Se Guzarta Hai Nasha

Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara
Kise Hai Hosh Mere Saamne To Laao Zara

Nasha Hai Sab Pe Magar Rang Nashe Ka Hai Juda

Khili Khili Hui Subah Pe Hai Shabnam Ka Nasha
Hawa Pe Khushboo Ka Badal Pe Hai Rimjhim Ka Nasha
Kahin Suroor Hai Khushiyon Ka Kahin Gham Ka Nasha

Nasha Sharaab Mein Hota To Nachti Botal
Maikade Jhoomte Paimaanon Mein Hoti Hulchul

Nasha Sharaab Mein Hota To Naachti Botal
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara

Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon...

    Author

    ครเŦ אคเ

    Sharabi Ghazals
    Archives

    April 2012
    March 2012

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector