Agar Khila Nahi Sakte To Paida Karna Band Kar Do
Kis Ne Kaha Tha Pepsi 65 Ki Kar Do???

Machar Jo Hon Zada To Khirkiyan Darwazay Band Kar Do
Kis Ne Kaha Tha Pepsi 65 Ki Kar Do???

Rotiyan Le Aao Thandi Par Salan To Garam Kar Do
Kis Ne Kaha Tha Pepsi 65 Ki Kar Do???

Dua Jab Bhi Maango To Aankhon Ko Apni Num Kar Do
Kis Ne Kaha Tha Pepsi 65 Ki Kar Do???

Iftaari Ho Kisi Ki To Khud Ko Tum Be-Sharam Kar Do
Kis Ne Kaha Tha Pepsi 65 Ki Kar Do???

Dimaagh Kharaab Karna Ho Kisi Ka To Ye Sawaal Ek Dum Kar Do
Kis Ne Kaha Tha Pepsi 65 Ki Kar Do???

Poori Ghazal Hi Likh Daali Ab To Ye Qissa Khatam Kar Do
Kis Ne Kaha Tha Pepsi 65 Ki Kar Do???
 
Shehar Ki Is Daud Me Daud K Karna Kya Hai?
Jab Yehi Jeena Hai Dosto To Phir Marna Kya Hai?

Paheli Barish Me Train Late Hone Ki Fikr Hai
Bhul Gaye Bhigte Huay Tahelna Kya Hai?

Serails Ke Kirdaaro Ka Saara Haal Hai Malum
Par Maa Ka Haal Puchhne Ki Fursat Kise Hai?

Ab Rait Pe Nange Pao Tahelte Kyun Nahi?
108 Hain Channel Phir Dil Bahelte Kyun Nahi?

Internet Ki Duniya Ki Tu Touch Me Hai
Lekin Pados Me Kon Raheta Hai Jaante Tak Nahi

Mobile, Landline Sab Ki Bharmaar Hai
Lekin Jigri Dost Tak Pohanche Aisi Taar Kahan Hai?

Kab Doobte Huay Suraj Ko Dekha Tha Yaad Hai?
Kab Jaana Tha Shaam Ka Woh Banana Kya Hai?

To Dosto Shehar Ki Is Daud Me Daud K Karna Kya Hai?
Jab Yehi Jeena Hai To Phir Marna Kya Hai?

 
Idhar To Shehar Ke Ganjay Meri Talaash Mein Hain
Udhar Tamaam Lafangey Meri Talaash Mein Hain

Main Un Ka Maal Gaban Kar K Jab Say Baitha Hoon
Yateem Khaanay K Bachey Meri Talaash Mein Hain

Mila Hai Nuskha Jawaani Palat Ka Jab Se Mujhe
Tumhare Shehr K Buddhay Meri Talaash Mein Hain

Main Jin K Waastay Jootay Chura K Jail Gaya
Woh Le K Haath Mein Jootey Meri Talaash Mein Hain

Diya Hai Naam Kafan Chor Jab Se Tum Ne Mujhe
Puraani Qabron K Murday Mairi Talaash Mein Hain

Patey Ki Baat Jo Moonh Se Nikal Gayi Paagal
Tumhare Shehar K Paglay Meri Talaash Mein Hain

 

Jab Jab Hum Ne Chaha Tab Tab Tum Jaage
Jab Jab Hum Ne Chaha Tab Tab Tum Jaage
Kyun K Tumhare Ghar Ki Ghanti Hum Hi Baja Kar Bhage

________________________

Ek To Aap Itratay Boht Ho
Dil Ko Hamare Behlate Boht Ho
Sochtein Hai Aap Ko DINNER Par Le Jayen
Par Kya Karen ZALIM Tum Khate Boht Ho


________________________

Hum Bhi Dost Tere Liye TAJ MAHAL Banaaenge..
Gaur Farmaaiga..
Hum Bhi Dost Tere Liye TAJ MAHAL Banaaenge..
Ek Cup Shubah.. Aur Ek Cup Shaam Ko Pilaenge

________________________

Mere Marne Ke Baad Mere Doston
Yun Aansoo Na Bahana
Agar Meri Yaad Aaye To
Seedhe Upar Chale Aana!!

________________________ 

Amiri Ke Khwab Dekhne Laga
Angreji Sharab Chakhane Laga
Baap Ne Kabhi Pager Nahi Dekha
Aur Beta Mobile Rakhne Laga!!!

________________________

Hathi Nay Kaha Ja Kar Hathni Ki Kabar Per
Sadqay Jaoon Tumhari Patli Kamar Per


________________________ 

Tum Bhi Bechara Hum Bhi Bechara
Fittay Mu Tumhara Fittay Mu Hamara


________________________ 

Lahore Ki Larkiyan Dholki Bajati Hain
Multan Ki Larkiyan Halwa Banati Hain
Faisalabad Ki Larkiyan Kachorian Banati Hain
Karachi Ki Larkiyan Pagal Banati Hain


________________________ 

 
Bohat Hi Khobsurat Nazm Ka Aghaz Karte Hain
Yeh Larkay Kyun Apna Waqt Barbaad Karte Hain

Zara Samjha Karo Hum Ko, Zara Alfaaz Wapis Lo
K Sharif Zaaday Kahan Kab, Aisi Baat Kartay Hain

Kissi Se Luv U? Kehte Hain Kissi Se Hug U? Kehte Hain
Yeh Jo Aap Karte Hain Who Kya Khak Karte Hain??

Mobile De Ke Larkion Ko Inspire Karte Hain
Maa Baap Ke Paison Ka Khana Kharab Karte Hain

Bohat Pur-Josh Rehte Hain Bohat Si Baatein Karte Hain
Mager Matlub Ki Baatoon Ko Hans K Taala Karte Hain

Deen Ki Baatoon Ko Khud Pe Na Kabhi Sawar Kartay Hain
Aur Kuch Mane Ya Na Mane Girlfriends Hamesha Chaar Rakhtay Hain

Nahi Agar Aap Ki Niyat Mein Koi Futoor
To Larkiyon K Face Mein Kya Talaash Karte Hain???

Kahain Tu Hard Disk Bhar Doon In Pe Likh Kar
Chalein Chorein Aaj Hum In Ko Maaf Karte Hain..

 
Daddy Internet Laga Dein

Dil Ka Connection Mila Dein
Daddy Internet Laga Dein
Mujhe Aaya Mail Doston Ka
Kab Lagay Ga Itna Bata Dein

Homework Pora Hota Nahi
Raat Ko Mein Sota Nahi
Jab Mood Ho Parhai Ka
Homework Koi Hota Nahi

Net Bhi Hai Kamaal Cheez
Bas Aati Ho Agar Chalani Keys
Waisay To Bohot Hai Kaam Is K
Par Chatting Pe Lagti Nahi Fees

Aap Kehte Hain Mein Shor Machaon Ga
Try Karo Mein Naraz Na Kar Paon Ga
Mein God Promise Karta Hun
Net Aap Ke Sonay Ke Baad Lagaon Ga

Saheli Nahi Meri Haan Dost Hi Hotay Hain
Wo Saaray Ke Saaray School Mein Hi Sotay Hain
Raat To Guzarti Hai Net Par Typing Kartay
Subha Bhi Chat Room Mein Hi Hotay Hain

Ladkiyan Bhi Kamaal Hoti Hain
Ghar Pe Apni Misaal Hoti Hain
Saara Kaam Khatam Kar K
Das Bajay Saday Naal Hoti Hain

Ab To Mujhe Internet Laga Dein
Meri Bhi Mauj Kara Dein
Mein Bhi Dhondta Hun Cyber Bahu
Daddy Internet Laga Dein

 
Mujhe Apni Mehbooba Se Milne Ka Bara Shoq Tha
Usay Qareeb Se Dekhne Ka Bara Shoq Tha

1 Din Likh Diya Khat Usko Sabr Kar K
Dil Mein Armano Ki Qabr Kar K

Bholi Bhali Samaj Na Saki Mere Pyar Ko
De Diya Khat Apne Bhai Gulzar Ko

Me Ne Darya Ki 1 Bari Moj Dekhi
Jab Apne Peeche Gulzar Ki Foj Dekhi

Un K Maarne Se Jism Se Saaz Nikal Rahe Thay
Mun Se Aglay Pichle Raaz Nikal Rahe Thay

Logon Ne Kaha Kis Pe Azaab Aaya Hai
Dil Ne Kaha Khat Ka Jawaab Aaya Hai

 
Kaaliyan Bariyan We Paper Nu Me Laawan
Speed Me 220 Di Likhaan
Teacher De Saamne Me Nai Rukda,
Em A Night Writer
Removaan Maar Maar Paper Nu Chehk Kad Da
Saaray Bachey Takde We Ki Hogaya
Lagda We Aj Mera Paper Hogaya
Un Nu Me Puchda
Ni Paper Sada Le Ja Ni Jattiye
Ni Dur Isay Le Ja We Ariye
Ni Teacher Tu Meri, Meri
Mein Tera Student Dent.. 

 
Jab Load Shedding Ho Out Of Control
Khirki Darwaze Khol..
Khirki Darwaze Khol..
Chanda Mama Ko Bol !

Aall izzz Wel

KESC Wale Kya Jane Student Ka Ab Kya Hoga??

Revision Karega Ya Paseene Mein Khuwaar Hoga?

Tu Mom Batti Jala

Generator Chala U.P.S Laga K Bol
Bhaiya Aall izz Well

Aall izz Well..!!

 
Daal Mein Jo Kala Hai Jee
Wo Garam Masala Hai Jee
Ek Pal Ki Hamein Khabar Nahi
Maghr Mansooba Sau Saala Hai Jee
Usay Rishwat Khaane Ka Haq Hai
Jo Minister Ka Sala Hai Jee
Hum Ne Dil Kisi Ko De Dala Hai Jee
Ab Allah Hi Uska Rakhwala Hai Jee
Hum Unka Kya Churaate Thay
Jo Humein Dil Se Nikala Hai Jee 

    Author

    ครเŦ אคเ

    Archives

    August 2012
    July 2012
    April 2012
    March 2012

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector