Murawatein Hi Sahi Magar Ek Baat Batao
Masroof Ho? Ya Bhoolna Chah Rahe Ho

xai
 
Agar Chorna Bhi Chaho To Koi Mumkin Jawaaz Rakhna
Hum Be-Wajah Sazaein To Pehle Bhi Bohat Kaat Chukay Hain

xai
 
Ruswaiyan Meri Oorr Rawana Hain
Khoob Anjaam Hone Ko Hai
Chalo Nafraton Ki Baat Karte Hain
Mohabbat Na-Kaam Hone Ko Hai

xai
 
Kabhi Samoya Kabhi Duboya Kabhi Nikaal Bahar Phenka
Samandar-e-Ishq Teri Aadatein Mere Yaar Jaisi Hain

xai
 
Mohabbat Haath Mein Pehni Hui Choori Ki Maanind Hai
Sanwarti Hai, Khanakti Hai, Khanak Kar Toot Jati Hai

xai
 
Meri Baat Mano xai Tum Chor Shararat
Ye Jo Ishq Kar Rahe Ho Barbaad Ho Rahe Ho

xai
 
Raakh Hota Hua Wajood Mera
Mujhse Thak K Ye Sawaal Karta Hai K
Ishq Karna Tere Liye Kya Bohat Zaroori Tha???

xai
 
Tu Hai Harjai, To Apna Bhi Yehi Tor Sahi...
Tu Nahi Aur Sahi, Aur Nahi.. Aur Sahi...

xai

 
Ye Mere Ishq Tha Ya Phir Deewangi Ki Inteha Wasi
K Tere Hi Qareeb Se Guzr Gaya Tere Hi Khayalon Mein

xai

 
Aisay Parinday Ko Qaid Karne Ka Mujhe Shauq Nahi Hai
Jo Mere Dil K Pinjray Mein Aa K Urnay Ka Shauq Rakhta Ho

xai

    Author

    ครเŦ אคเ

    4 & 2 Line (Couplets) Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    2 Line Couplets
    4 Lines Poetry
    Urdu Poetry On Wallpaper

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector